Jab Dard Nahi Tha Sine Me Lyrics – Kishore Kumar
Na hansnaa mere gham pe insaaf karnaa
Jo main ro padoon to mujhe maaf karnaa
Jab dard nahin thhaa seene mein
Tab khaaq mazaa thhaa jeene mein
Jab dard nahin thhaa seene mein
Tab khaaq mazaa thhaa jeene mein
Ab ke shaayad ham bhi royen
Saawan ke maheene mein
Jab dard nahin thhaa seene mein
Tab khaaq mazaa thhaa jeene mein
Ab ke shaayad ham bhi royen
Saawan ke maheene mein
Jab dard nahin thhaa seene mein
Tab khaaq mazaa thhaa jeene mein
Yaaron kaa gham kyaa hotaa hai
Yaaron kaa gham kyaa hotaa hai
Maaloom na thhaa anjaanon ko
Saahil pe khade hokar hamne
Dekhaa aksar toofaanon ko
Ab ke shaayad ham bhi doobey
Maujon ke safeene mein
Jab dard nahin thhaa seene mein
Tab khaaq mazaa thhaa jeene mein
Aise to thhes na lagti thhi
Jab apne roothhaa karte thhey
Itna to dard na hotaa thhaa
Jab sapne tootaa karte thhey
Ab ke shaayad dil bhi tootey
Ab ke shaayad ham bhi royen
Saawan ke maheene mein
Jab dard nahin thhaa seene mein
Tab khaaq mazaa thhaa jeene mein
Is qadar pyaar to koi kartaa nahin
Marne waalon ke saathh koi martaa nahin
Aap ke saamne main na phir aaoongaa
Geet hi jab na honge to kyaa gaaungaa
Meri aawaaz pyaari hai to doston
Yaar bach jaaye meraa duaa sab karo
Duaa sab karo.