Jaan Hatheli Par Lyrics – Mohammed Rafi
Shahido ki mazaro par
Lagege har barash mele
Ha watan par marne walo ka
Yahi namo nisha hoga
Yahi namo nisha hoga
Phirte hai ye matwale
Jaan hatheli par lekar
Phirte hai ye matwale
Chamkege banke sitare
Ye apne watan pe marne wale
Watan pe marne wale
Apne watan pe marne wale
Dil mein aazadi ke shole
Aur bandh ke rakhte sar se kafan
Jo khune jigar se sinchte hai
Mastane apne watan ka chaman
Aazadi par mar mitte hai
Aazadi par mar mitte hai
Aazadi ke rakhwale
Chamkege banke sitare
Ye apne watan pe marne wale
Chamkege banke sitare
Ye apne watan pe marne wale
Watan pe marne wale
Apne watan pe marne wale
Jo rakhte hai pholadi jigar
O dushman ke aage jhukte nahi
Chattano se takkar lete hai
Toofano ke aage rukte nahi
Jo sar se udate hai goli
Jo sar se udate hai goli
Chhati pe chal jate hai bhale
Chamkege banke sitare
Ye apne watan pe marne wale
Chamkege banke sitare
Ye apne watan pe marne wale
Watan pe marne wale
Apne watan pe marne wale
Mat bhulo itihaas purana
Mat bhulo prachin kahani
Lal khoon se likhi hui hai
Lal kile ki lal kahani
Duniya mein sabhi ko dost ki khatir
Jaan nyochhavar karte hai
Marke bhi wo rahte hai amar
Dushman ke liye jo marte hai
Dharti ko pilate hai amrit
Dharti ko pilate hai amrit
Khud pite zahar ke pyale
Chamkege banke sitare
Ye apne watan pe marne wale
Chamkege banke sitare
Ye apne watan pe marne wale
Watan pe marne wale
Apne watan pe marne wale
Gunjh utha ghar ghar ye nara
Janam sidh adhikar hamara
Bache bache ne lalkara
Hum hindi ye hind hamara
Hum hindi ye hind hamara
Hum hindi ye hind hamara
Aazadi ke mantra pukare
Gunjh uthe naro par nare
Jai hind jai hind jai hind
Jai hind jai hind vande matram
Inkalab zindabad inkalab zindabad
Inkalab zindabad jai hind jai hind
Vande matram vande matram
Vande matram
Jai hind jai hind jai hind.