Jaan-e-Bahaaraan Lyrics – Ali Zafar
Jaan-e-bahaaraan rashk-e-chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Ay jaan-e-mann
Jaan-e-bahaaraan rashk-e chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Ay jaan-e-mann
Jaan-e-bahaaraan
Jannat ki hoorein tujh pe fida
Raftaar jaise mauj-e saba
Rangeen-ada tauba-shikan
Ay jaan-e-mann
Jaan-e-bahaaraan
Jaan-e-bahaaraan rashk-e chaman
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Rangeen-ada tauba-shikan
Jaan-e-bahaaraan o jaan-e-mann
Nazron ne teri kiya hai sitam
Qaus-e quzah ki yeh rangeeniyaan
Jaadu kiya hai yeh tune sanam
Taubah hai taubah teri ada
Us ki ‘inaayat husn tera
Rangeen-jamaal naazuk-badan
Gul-pairahan sarw-e chaman
Jaan-e-bahaaraan o jaan-e-mann
Sham-e furozaan aankhen teri
Har ik nazar men jaadu-gari
Zulfen teri mushk-e khutan
Ay jaan-e-mann
Jaan-e-bahaaraan
Ay naaz-parwar naaz-aafireen
Laakhon haseen hain tujh sa nahi
Khandah-jabeen, sheereen-sukhan
Ay jaan-e-mann, ay jaan-e-mann
Ghunchah-dahan seemeen-badan
Rangeen-ada tauba-shikan
Har ik nazar mein jaadu-gari
Zulfen tiri mushk-e khutan
Ay naaz-parwar naaz-aafireen
Laakhon haseen hain tujh sa naheen
Khandah-jabeen, sheereen-sukhan
Ay jaan-e-mannay jaan-e-mann..