Jaan Ab Ja Rahi Lyrics

in

"Jaan Ab Ja Rahi" Song Details:

Movie: Khel Khilari Ka (1977)
Singer(s):Asha Bhosle, Manna Dey
Lyricist(s):Rajendra Krishan
Composer(s):Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Director(s):Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Genre(s):Qawwali
Director(s):Arjun Hingorani
Music Label:© Polydor
Starring:Dharmendra, Shabana Azmi, Dhruv, Dev Kumar, Narendra Nath, Mehmood Jr., Komilla Wirk, Ravi, Johnny Walker, Sujata Bakshi, Bharat Bhushan, Shyama
Release on:18th April, 1977

Jaan Ab Ja Rahi Lyrics – Asha Bhosle, Manna Dey

lyricsbogie.com
Baharo ke zamane keh rahe hai
Ke tum bhi aa jao
Baharo ke zamane keh rahe hai
Ke tum bhi aa jao
Aur yeh bulbul ke tarane keh rahe hai
Ke tum bhi aa jao
Hawa ke mast jhonke chum kar
Kaliyo ke mukhado ko
Mohabbat ke fasane keh rahe hai
Ke tum bhi aa jao kyu ki
Jaan ab ja rahi hai
Nazar pathra rahi hai
Jaan ab ja rahi hai
Nazar pathra rahi hai
Kahi se aa jao
Kahi se aa jao aa jao aa jao
Mohabbat mein teri kab se
Sanam bejaan baithe hai
Mohabbat mein teri kab se
Sanam bejaan baithe hai
Dbakar dil mein tere pyar ka
Toofan baithe hai ha toofan baithe hai
Ha ji toofan baithe hai

Nazakat jaan jao shama pehchan jao
Nazakat jaan jao shama pehchan jao
Tumhe kaise samjhaye ha
Yeh kaise samjhaye samjhaye samjhaye
Jo dushman pyar ke hai wo
Bane anjaan  baithe hai
Jo dushman pyar ke hai wo
Bane anjaan  baithe hai
Bhari mehfil mein aise bhi
Kai mehman baithe hai
Kai mehman baithe hai
Ji ha mehman baithe hai

Mohabbat aise mehmano ko
Rashte se hata dengi
Ha rashte se hata dengi
Hai kitna aashiqi mein zor
Yeh jalwa dikha dengi
Ha yeh jalwa dikha dengi
Kadam ulta pada to
Pada to pada to ha
Kadam ulta pada to
Pyar ki hasti mita dengi
Ha hasti mita dengi
Zara si bhul bahar se hume
Se andar bitha dengi
Ha hume andar bitha dengi
Abhi to rehne do
Abhi to rehne do
Rehne do rehne do samjhe
Abhi to chain se
Yeh toofan baithe hai
Abhi to chain se
Yeh toofan baithe hai
Bhari mehfil mein aise bhi
Kai mehman baithe hai
Kai mehman baithe hai
Ji ha mehman baithe hai

Irada karke aaye the
Gale tumko lgayenge
Gale tumko lgayenge
Khabar kisko thi zalim
Raah mein kante bichhayenge
Ha kante bhi bichhayenge
Nahi jab chain padta to
Dhadkar dil yeh kahta hai
Dhadkar dil yeh kahta hai
Irada ho namumkin
Mumkin hoke rahta hai
Ha mumkin hoke rahta hai

Beet jaaye na pyar ki ghadiya
Beet jaaye na pyar ki ghadiya
Ha samne aankh ke hai hathkadiya
Ha ha hathkadiya ho ho hathkadiya
Ishq wo ishq kya jo dar jaaye
Kya bina mot koi mar jaaye
Kya mohabbate se jaan pyari hai
Is ishare mein baat sari hai
Shaf keh do ke aa nahi sakte
Shaf keh do ke aa nahi sakte
Ha lautkar bhi to ja nahi sakte
Lautkar bhi to ja nahi sakte
Baat kya hai yeh aane jaane ki
Baat kya hai yeh aane jaane ki
Haye majburiya zamane ki
Haye majburiya zamane ki

Koi unse yeh keh de
Koi unse yeh keh de
Keh de keh de keh de
Par kya kya keh de
Paresha tum udhar aur
Hum idhar heran baithe hai
Paresha tum udhar ho
Hum idhar heran baithe hai
Bhari mehfil mein aise bhi
Kai mehman baithe hai
Kai mehman baithe hai
Ji ha mehman baithe hai
Kai mehman baithe hai
Ji ha mehman baithe hai
Kai mehman baithe hai
Ji ha mehman baithe hai.

Jaan Ab Ja Rahi Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *