Jaaga Naya Savera Lyrics – Mohammed Rafi
Shri krishnan govind gopalam
Shri krishnan govind gopalam
Jaaga naya savera andhiyara dhal gaya
Tute jagat ke bandhan jivan badal gaya
Jaaga naya savera andhiyara dhal gaya
Apno ki moh maya jhuti barat ho
Sukh dukh ka yeh kabila bande ke sath hai
Isko samjh ke bachna apne hi hath hai
Vedo ka sar isme chhoti si baat hai
Aankhon ne jab yeh parkha sankat hi tal gaya
Jaaga naya savera andhiyara dhal gaya
Chhal aur kapat mein uljha firta hai aadmi
Karta hai jag mein jaisa bharta hai aadmi
Sab kuch samjh ke kuch na samjha hai aadmi
Jaaye na sath kuch bhi jata hai aadmi
Socha yeh jisne uska har pal sambhal gaya
Jaaga naya savera andhiyara dhal gaya
Jhute hai sare bandhan sanso ke tar ke
Rakh de re jag ka bojha jag mein utar ke
Samshan ki chitaye kehti pukar ke
Aana yaha padega manav ko haar ke
Unche gagan pe chad ke suraj bhi dhal gaya
Jaaga naya savera andhiyara dhal gaya
Tute jagat ke bandhan jivan badal gaya
Jaaga naya savera andhiyara dhal gaya.