Ishq Sufiana (Male) Lyrics – Kamal Khan
Rab ki qawali hai ishq koi
Dil ki diwali hai ishq koi
Mehki si pyaali hai ishq koi
Subah ki laali hai ishq
Girta sa jharna hai ishq koi
Uthta sa kalma hai ishq koi
Saanson mein lipta hai ishq koi
Aankhon mein dikhta hai ishq
Yun bas tu, mujhko fanaa kar de
Mera haal tu, meri chaal tu
Bas kar de aashiqana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana,
Mera ishq sufiyana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana,
Mera ishq sufiyana
Rab ki qawali hai ishq koi
Dil ki diwali hai ishq koi
Mehki si pyaali hai ishq koi
Subah ki laali hai ishq
Sochun tujhe toh hai subah
Sochun tujhe toh shaam hai
Haan manzilon pe
Ab toh meri, ek hi tera naam hai
Teri aag meri jalti,
Koyle se meera banki
Khwaabon se aagey
Chal ke hai tujhe bataana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Saath-saath chalte
Chalte haath chhoot jaayenge
Aisi raahon mein milo naa
Baatein-baatein karte
Karte raat katt jaayegi
Aisi raaton mein milo naa
Kya hum hain, kya rab hai
Jahan tu hai, wahin sab hai
Tere lab mile mere lab khile
Ab door kya hai jaana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Rab ki qawali hai ishq koi
Dil ki diwali hai ishq koi
Mehki si pyaali hai ishq koi
Subah ki laali hai ishq
Mere dil ko tu jaan se juda kar de
Yun bas tu, mujhko fanaa kar de
Mera haal tu, meri chaal tu
Bas kar de aashiqana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana
Tere vaaste mera ishq sufiyana
Mera ishq sufiyana, mera ishq sufiyana.