Ishq Na Kariyo Koi Lyrics – Kamal Makhdoom
Udashi thi bechain thi hawa
Ek roz us makan se mera gujar hua
Aisa laga kabar mein karwat kisi ne li
Dekha jo maine mud ke to aane lagi sada
Ishq na kariyo koi
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi
Pahle fasaya nain mein
Usko bad mein baitha roye
Jite ji to chain na aaya
Marke bhi na soye
Jite ji to chain na aaya
Marke bhi na soye
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi
Tuti hui si kabar thi wo us garib ki
Gujri thi umar ishq mein jis badnasib ki
Maine uthaye hath jo padhne ko kafila
Nikli mawar ki kabar se wahi sada
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi
Dekha jo gor se jo mohabbat ki kabar thi
Ek gumsada jawan tha baitha waha
Girte the uske aansu to aati thi yahi sada
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi
Ek aur kabar dekhi maine usi jagah
Virani jiski dekh ke sadma mujhe hua
Aankho mein aansu
Aa gaye dil se utha dhua
Ghabrake main jo palta
To aane lagi sada
Ishq na kariyo koi alla meri tauba
Ishq na kariyo koi alla meri tauba
Ishq na kariyo koi tauba tauba
Ishq na kariyo koi alla meri tauba
Ishq na kariyo koi tauba tauba.