Is Ishq Ke Kaanton Mein Lyrics

in

"Is Ishq Ke Kaanton Mein" Song Details:

Movie: Andhon Ki Duniya (1947)
Singer(s):Shailesh Mukherjee, Zohrabai Ambalewali
Lyricist(s):Behzad Lucknavi
Composer(s):Vasant Desai
Music Director(s):Vasant Desai
Genre(s):Playful
Director(s):Keshavrao Date
Music Label:© Saregama
Starring:Keshavrao Date
Release on:1st January, 1947

Is Ishq Ke Kaanton Mein Lyrics – Shailesh Mukherjee, Zohrabai Ambalewali

Is ishq ke kaanton mein
Is ishq ke kaanton mein hai
Phoolon ka khazaana
Phoolon ka khazaana

Daaman jo ulajh jaaye to
Daaman na chhudaana
Daaman na chhudaana

Is ishq ke kaanton mein hai
Phoolon ka khazaana
Phoolon ka khazaana
Is aankh mein hai zehar bhi
Jaadoo bhi sukoon bhi
Armaanon ka khoon bhi
Uhoon
Is shokh nazar se kabhi
Nazrein na milaana
Nazrein na milaana
Is ishq ke kaanton mein hai
Phoolon ka khazaana
Phoolon ka khazaana

Har simt machalti
Nazar aati hain bahaarein
Padti hain phuhaarein
Aise mein chale aao o
Aise mein chale aao
Ke mausam hai suhaana
Mausam hai suhaana
Is husn e jahaan
Soz ka
Aalam hai khareedaar
Duniya hain giraftaar
Nazron mein do aalaam hain to
Kadmon mein zamaana
Kadmon mein zamaana

lyricsbogie.com
Barsaat ki bheegi huyi
Raaton ki kasam hai
Kyun tumko alam hai
Baadal ki tarah tum koyi ee ee ee
Baadal ki tarah tum koyi
Aansoo na bahaana
Aansoo na bahaana

Jis gham ko chhupaye thha aa aa aa
Jis gham ko chhupaye thha main
Duniya ki nazar se
Har dard e basher se
Har ashq sunaane lagaa
Us gham ka fasaana
Us gham ka fasaana

Apnon hi se duniya mein
Pahunchata hai sadma
Gham hota hain doona
Apnon hi se duniya mein
Pahunchata hai sadma
Ho jaata hain sadma
Gham hota hain doona
Duniya mein kisiko bhi tum
Apna na banaana
Apna na banaana
Duniya mein kisiko bhi tum
Apna na banaana
Apna na banaana
Is ishq ke kaanton mein hai
Phoolon ka khazaana
Phoolon ka khazaana.

Is Ishq Ke Kaanton Mein Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.