Is Deewane Ladke Ko Lyrics – Aamir Khan, Alka Yagnik
Arz hai,
Dawa bhi kaam na aaye, koi dua na lage
Dawa bhi kaam na aaye, koi dua na lage
Mere khuda kisi ko, pyar ki hawa na lage
Is deewane ladke ko, koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane, kyun yeh ghabraye
Is deewane ladke ko, koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane, kyun yeh ghabraye
Dard-e-dil, jaane na, paas maein jitna aaun
Utni door yeh jaaye, jaaye, haan jaaye
Is deewane ladke ko, koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane, kyun yeh ghabraye
Dard-e-dil, jaane na, paas maein jitna aaun
Utni door yeh jaaye, jaaye, haan jaaye
Is deewane ladke ko, koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane,
Kyun yeh ghabraye
Rang na dekhe, roop na dekhe,
Yeh jawaani ki, dhoop na dekhe
Arz hai,
Kuch majnu bane, kuch raanjha bane
Kuch romeo, kuch farhad hue
Is rang roop ki chaahat mein
Jaane kitne barbaad hue, vo dekho
Ishq mein iske, baanvri hoon mein
Yeh bhala hai to, kya buri hoon mein
Yeh ladka, hai phir bhi, jaane kyun sharmaaye,
Jaane kyun sharmaaye,
Jaane kyun sharmaaye, haan sharmaaye
Is deewane ladke ko, koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane, kyun yeh ghabraye
Jaanti hoon mein, yeh tadapta hai
Pyar mein iska, dil dhadakta hai
Jise dekho dil ki dhuni ramata hai
Are yeh mandir nahin hai, shivala nahin hai
Haseenon se kehdo kahin aur jayen
Mera dil hai dil, dharamshala nahin hai
Phir bhi kehne se, yeh kyun darta hai
Sach kuchh bhi, bole na, jhoothi baat banaaye
Jhoothi baat banaaye, haan banaaye
Is deewane ladke ko, koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane, kyun yeh ghabraye
Dard-e-dil, jaane na, paas maein jitna aaun
Utni door yeh jaaye, jaaye, haan jaaye
Is deewane ladke ko, koi samjhaye
Pyar mohabbat se na jaane,
Kyun yeh ghabraye
Phool khilte hain, bahaaron ka sama hota hai
Aise mausam mein hi to, pyar jawaan hota hai
Dil ki baaton ko, hothon se nahin kehte
Yeh fasaana to, nigaahon se bayaan hota hai.