Insaan Bann Lyrics – J Trix
Paisa aur shohrat kabhi kaafi nai
Nafrat se milti nafrat khushiyaan aati nai
Do pal ki zindagi mein dekha itna
Ki ab lagta jaise kuch bhi saala baaki nai
Zindagi circus hai yaha pe saare joker
Haste rehte aage log peechhe bojh dho kar
Sabki zindagi hai takleefon se hi bhari
Toh na kharoch usko kar madad
Bhala insaan hokar
Woh kar jisse log yaad rakhe tujhe
Marne ke baad bhi
Chhale tera naam leke dooje
Woh bhi zindagi hai kis kaam ki
Agar har samay tujhe
Bas apni khushiyaan
Aur apni hi pareshaani sujhe
Kal ho na ho aaj jo mila hai toh
Khudse aur dusro se bas
Insaaniyat ke naate hod
Bura na soch aage pohoch
Dooje ke bhi raaste khoj
Ek dusre ka sahara ban
Na ban kisi pe bojh
Zara dekh
Apne aas paas ka manzar
Jaat ke hai naam pe
Chalaate log khanjar
Ban chuka vyaapaar inko
Jaan ki koi keemat nai
Insaan hi sabse behtar
Aur insaan hi sabse badtar
Sir hadd ho chuki hai sarhad pe
Kab tak chalemgi jung
In ghaawo ke koi malham nai
Likh sake jo dhang se
Aaj aisi kalam nai
Kyon ki ab azaadi ke
Matlab se kisiko matlab nai
Tu insaan bann yeah
Soch ko daba isse pehle
Soch daboch le
Tu insaan bann yeah
Saath reh humesha na hai
Badi cheez paisa
Tu insaan bann yeah
Soch ko daba isse pehle
Soch daboch le
Tu insaan bann yeah
Saath reh humesha na hai
Badi cheez paisa
Bik gayi hai soch teri
Kyun ki bhadka tu bhadkaane se
Jaane anjaane mein
Aaya tu behkaawe mein
Maana jo bhi kehte gaye
Ghoom hua shor sharaabo mein
Dikhe na asli chehre
Jo chhupe hue the in naqaabo mein
Ab hai sandook tumhare kandho pe
Goliyaan chalaayi aakh ke
Bandook tumhaare kandho pe
Ghayal tere apne to
Ye khoon tumhaare panjo mein
Ab mujhko tu bata de
Kya haasil hua in dango se
Samajhdaar ko ishaara kaafi
Toofaan mein phase hue
Maanjhi ko kinaara kaafi
Har ek khabar ko
Teri soch ka sahara kaafi
Kyuki kuch logo ko
Bas ek paise ka lifaafa kaafi
Sach bolne waalo ke
Muh pe lagaaya taala
Pehle tha shaq
Ab toh pura daal hi
Hai dikhta kaala
Sabko pata hai
Chaaro aur na insaafi hai
Par jab tak khud hai safe
Wahi humaare liye kaafi hai?
Tu insaan bann yeah
Soch ko daba isse pehle
Soch daboch le
Tu insaan bann yeah
Saath reh humesha na hai
Badi cheez paisa aa
Tu insaan bann yeah
Soch ko daba isse pehle
Soch daboch le
Tu insaan bann yeah
Saath reh humesha na hai
Badi cheez paisa aa.