Insaaf Lyrics – Sushmita Pradhan
Iska koi zariya nhi milraha
Jiske meh shikaar banchuki hu
Mere zakhm roz harey hotey hain
Jiske meh shikaar banchuki hu.
Har ghao ko deykhkar
Unka dushkarm yaad aata hai
Har dard ke sath un
Heywano ka waar yaad aata hai
Dil may jeene ke asha hai
Sanso may maut ka khayal.
Na janu ye kaese kashmakash hai
Nas nas puchey sawal
Chubhanbhari dhadhkaney
Num se deykhte aankheyn.
Mere beyzuban baateyn
Dheemi dheemi sansey
Aadhmari zinda laash
Mangye insaaf.
Insaaf insaaf insaaf
Insaaf insaaf insaaf
Beybus krdea hai zindagi ne mujhe
Kisaey sunaun apni dastaan.
Maa, tum toh samjhte ho na mjhe
Mere sawalon ka jawab deypaogye kya
Kya wo khushi bharey lamhey?
Zindagi kabhi na laeyge.
Kya ab tere ghar baraat na aeyge?
Khoya hai jo mene kya phir se kabhi na paungi?
Saansey toh leyrahi hu par kya jee paungi?
Un darindon ka akhir mene kya bigadha tha.
Kyu wo mujhe is tarah masal kargye
Beydard mere rooh ko kuchal kar gaye.
Jeetey jeetey marti jaarahi hu meh
Saanso ka bharosa hi nhi.
Aakhri saans se pehle insaaf chahre hu meh
Icha hai mere ki sukoon se duniya chodhu
Subke dilo may ek misaal bankar rahu
Mere jeewaan ke kitaab har raaz kholeyge.
Meh aant tak ladhi yahi kaheyge
Mere aap beeti duniya na bhooleyge
Ye nanhi se jaan maut ke baad bhi
Zinda raheyge.