In Ankho Me Hai Pyar Lyrics – Indrani Mukherjee, Moti Sagar
In aankho me hai pyar
Jo karlu ulfat ka izhar
To bolo kya bura hai
Agar mai kardu saf inkar
Banau mai na tumhe dildar
To bolo kya bura hai
In aankho me hai pyar
Jo karlu ulfat ka izhar
To bolo kya bura hai
Mere jute gish gaye haye gish gaye
Teri gali ke karke fere
Mere jute gish gaye haye gish gaye
Kismat ki chakki me
Aake tere arman pish gaye
Ho pish gaye
Hum mar jaye sarkar
Uthake ghabru ki talwar
To bolo kya bura hai
Agar mai kardu saf inkar
Banau mai na tumhe dildar
To bolo kya bura hai
Aap ke sath chale aaye ji
Hamse ho gayi bhul
Aap ke sath chale aaye ji
Hamse ho gayi bhul
Tumse kare jo pyar
Ho jaye uska dabba gul
Nigahe kaisi hai sarkar
Jo hamse kar bhi lo pyar
To bolo kya bura hai
Agar mai kardu saf inkar
Banau mai na tumhe dildar
To bolo kya bura hai
Hum nahi sunne aaye the
Ye lambi lambi bate
Hum nahi sunne aaye the
Ye lambi lambi bate
Tumhi bata do
Tumhi bata do
Kaise katu lambi lambi rate
Falak pe tare besumar
Ginte raho ek do teen char
Ek do teen char
To bolo kya bura hai
In aankho me hai pyar
Jo karlu ulfat ka
Izhar to bolo kya bura hai
Agar mai kardu saf inkar
Banau mai na tumhe dildar
To bolo kya bura hai.