Ik Rupaya Lyrics – Bhavin Dhanak, Jimmy Moses, Kirti Sagathia, Labh Janjua, Rahul Vaidya, Sudesh Bhonsle
Suniye…zara suniye… ik rupiya hoga
Aap hamari madad karen to achchha hoga
Suniye..ik rupiya hoga
Main hoon ek bank manager
Meri baat suno tum mister…
Main hoon ek bank manager
Meri baat suno tum mister…
Ik rupiya ya ek laakh ya ek karod
Bank se le lo loan tum ab do chinta chhod
Achchha sujhav hai.. Chhod di chinta ab kya karen?
Pehle bhejo aaplication…
Jiss mein loan ka ho intention
Saath mein bhejo tum guarantee
Jo bhi tumhari ho property
Usske ssare paper hamko dena
Loan agar hai lena
Yeh kya baat huo bhai
Arre aapke sar mein bheja hai ya bone…
Phone ki khatir leta hai koi loan
Lekin loan ki khatir sab karte hain phone
Humko phone ki khatir to pehle mil jata loan
Kaun se phone ka lone?
Loan ke jiss se karenge phone
No no pehle phone aur phir loan
Nahin nahin pehle loan varna kaise karenge phone
Loan… phone… phone… loan…
Suniye
Suniye…zara suniye… ik rupiya hoga
Aap hamari madad karen to achchha hoga
Suniye…suniye shriman.. Ik rupiya hoga?
Budhhu mujhse tum ik rupiya maang rahe ho
Main hoon kya aur mujhse tum kya maang rahe ho
Ohhhh…
Wah.. Kya gala hai..
Kya yeh doctor ek singer se mila hai?
Main ek professor hoon.. Ek philosopher hoon
Rupiya kya main dega tumko laakhon ka gyan ..suno
With globalization and liberalization
International economy is changing
Recession is increasing and there is inflation
And constant fluctuation…
Tumse ek rupiya kya maanga
Tumne to lecture de daala
Tumne zara bhi dhyaan diya
Maine free mein tumko kitna gyan diya
Varna socho jiss ke paas ek rupiya na ho
Wo chache ho jeeta marta
Uss se koi baah bhi karta?
Suniye…zara suniye… ik rupiya hoga
Aap hamari madad karen to achchha hoga…
Suniye…zara suniye… ik rupiya hoga
Aap hamari madad karen to achchha hoga…
Dus rupiye ka sawaal hai baba
Dus rupiye ka sawaal hai
Tere shares ka bhaav chadhe
Teri income bahut badhe
Oh dus rupiye wale baba
Oh dus rupiye wala baba
Tum poora pahad hilate ho
Humse kankar bhi nahin hilta
Tum dus rupiye le lete ho
Hamen ikk rupiya bhi nahin milta
Hooo..
Yahan badi cheez ki izzat hai
Mango to bhekh badi mango.. Waah
Main izzatdaar bhikari hoon
Ik rupiya agar main maangunga
To meri jo position hai sab mitti mein mil jayegi
Bheekh ki seekh yahi hai bachcha
Ik rupiya jo maangoge
Duniya thenga dikhlaayegi
Give me money… give me some money
Give me money… give me some now
Bhalsahab zara suniye
Aare memsaab zara suniye
Babusaab zara suniye
Thehri.. Thehro..thehro
Ab maine yeh jana hai
Ab maine ye mana hai
Jissko hum kehte hain rupiya
Duniya ki khatir hai wo kya
Chaand se sooraj se bhi zyada gol hai rupiya
Pyaar mohabbat se zyada anmol hai rupiya
Duniya ke maathe pe rupiya ik teeka hai
Rupiya agar nahin to yeh jeevan pheeka hai
Paisa paisa paisa paisa paisa paisa paisa paisa
Yahi agar duniya hai to tum sun lo yaaron
Main to kehta hoon duniya ko thokar maaro.