Hum Watan Ke Lyrics

in

"Hum Watan Ke" Song Details:

Movie: Jai Bharat (1936)
Singer(s):Sardar Mansoor
Composer(s):Master Mohammad
Music Director(s):Master Mohammad
Genre(s):Playful
Music Label:© Saregama
Starring:Master Mohammed
Release on:1st January, 1936

Hum Watan Ke Lyrics – Sardar Mansoor

Jaanen nissar karnaa,
Azaadi-e-watan par
Dekho khizaan na aaye
Phoole phale chaman par
Hans hans ke waar lenaa
Teer-o-tabar ke tan par
Ek ek katraa khoon
Ho gul ki tarah badan par
Hum par karey jo hamlaa
Mil kar jahaan saara
Jhukne na paaye phir bhi
Bhaarat nishaan hamaara

Mere bhaayio,
Apne pyaare senapati ji
Ko aakhri salaam
Kar ke rukhsat karo

Hum watan ke
Watan hamaara
Bhaarat mata jai jai jai
Hum watan ke
Watan hamaara
Bhaarat mata jai jai jai
Tan mann tujh par arpan saara
Bhaarat mata jai jai jai
Tan mann tujh par arpan saara
Bhaarat mata jai jai jai
Ek kaan ke do hain heere
Hindu muslim ka naata
Kaaba kaashi donon aalaa
Bhaarat sab ki hai maata
Baandhe kamar khadey
Hargiz na hum daren
Sheron se jaa laden
Satt par hum ha ha ha
Baandhe kamar khadey
Hargiz na hum daren
Sheron se jaa laden
Satt par hum ha ha ha
Hum watan ke
Watan hamaara

lyricsbogie.com
Bhaarat mata jai jai jai
Tan mann tujh
Par arpan saara
Bhaarat mata jai jai jai
Saj kar bakhtar
Ban ke bahadur
Jaayen rann mein
Hum hum hum
Saj kar bakhtar
Ban ke bahadur
Jaayen rann mein
Hum hum hum
Dushman se ladtey
Bijli ban chamken
Shamsheeren damken
Dushman se ladtey
Bijli ban chamken
Shamsheeren damken
Dushman se ladtey
Bijli ban chamken
Shamsheeren damken

Khoon bharaa hai rag rag mein
Khoon bharaa hai rag rag mein
Bheem arjun aur akbar ka
Bheem arjun aur akbar ka
Hum watan ke
Watan hamaara
Bhaarat mata jai jai jai
Tan mann tujh par arpan saara
Bhaarat mata jai jai jai
Dil mein hamaare hain armaan
Do do haath dikhaayen haan
Mil jul ke hindu mussalmaan
Aabaad karen hum hindustaan.

Hum Watan Ke Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.