Hum To Aise Hain Lyrics – Pranab Biswas, Shreya Ghoshal, Sunidhi Chauhan, Swanand Kirkire
Jeb mein humrai do hi rupaiya
Duniya ko rakhe thenge pe bhaiya
Sukh dukh ko khuti pe tange
Aur paap punya chooti se baandhe
Nache hai hum ta ta thaiya
Are hum to aise hai bhaiya
Are hum to aise hai bhaiya
Yeh apna fashion ha bhaiya
Are hum to aise hai bhaiya
Ek gali mein bum bum bhole
Duji gali mein allah miya
Ek gali mein gunje azaane
Duji gali mein bansi bajiya
Sab ki labo mein lahu
Bahe hai lahu bahe hai
Apni rago mein ganga maiya
Suraj aur chanda bhi dhalta
Apne ishaao pe chalta
Duniya ka gol gol pahiya
Are hum to aise hai bhaiya
Are hum to aise hai bhaiya
Yeh apna fashion ha bhaiya
Are hum to aise hai bhaiya
Aaja banaras ka ra chak le aa
Ganga mein jake tu dupki laga
Rabbdi ke sang sang chaba le na ungli
Maathe mein bhaag ka rang chada
Chuna lagaile panwa khilayede
Uspe tu zarde ka tadka lagaide
Patna se aaibe pairis se aaibe
Gangaji mein har koi nanga nahaibe
Jeeete ji jo koi kaashi na aaye
Char char kandho pe woh chad ke aaye
Are hum to aise hai bhaiyaah
Are hum to aise hai bhaiyaah
Yeh apni nagri hai bhaiyaah
Are hum to aise hai bhaiyaah
Didi agar tujhko hoti jo mooch
Mein tujhko bhaiya bulati tu sooch
Are chutki agar tujhko hoti ho pooch to
Mein tujhko gaiya bulati tu sooch
Didi ne na jane kyon chodi padhai
Ghar baithe amma sang karti hai ladai
Amma bechari kismein hai aai
Raat din sukh dukh ki chakki yeh chalaye
Are ghar baithe baithe babuji humare
Lotry mein dhoonthe hai
Kismat ke taare 3 2 1 2 72
Majhdaar mein humri naiya
Phir bhi dekho mast hai hum bahiya
Are hum to aise hai bhaiyaah
Are hum to aise hai bhaiyaah
Se panchi ban ke ud jaau
Shaam pade phir dana
Lekar laut kar apne ghar aau
Are hum to aise hai bhaiyaah
Are hum to aise hai bhaiyaah
Are hum to aise hai bhaiyaah.