Hum Pyar Tumhi Se Karte Lyrics

in

"Hum Pyar Tumhi Se Karte" Song Details:

Movie: Amber (1952)
Singer(s):Lata Mangeshkar
Lyricist(s):Shakeel Badayuni
Composer(s):Ghulam Mohammad
Music Director(s):Ghulam Mohammad
Genre(s):Sad
Director(s):Jayant Desai
Music Label:© Saragama
Starring:Nargis, Raj Kapoor, Agha

Hum Pyar Tumhi Se Karte Lyrics – Lata Mangeshkar

Hum pyar tumhi se karte hai
Hum pyar tumhi se karte hai,
Nadan balam tum kya jano
Tum ruth gaye dil tut gaya,
Paaya hai jo gham tum kya jano
Hum pyar tumhi se karte hai

Jab hamko banaya tha apna,
Kyun haal na dil ka jan sake
Ek phool chuna..
Ek phool chuna aur phenk diya,
Khushbu bhi nahi pahachan sake
Thukara diya meri ulfat ko,
Apna yeh sitam tum kya jano
Hum pyar tumhi se karte hai

lyricsbogie.com
Mit jaye muhobbat ki duniya,
Yeh baat koi aasan nahi
Armaan bhara,
Armaan bhara ye dil mera,
Najuk hai magar nadan nahi
Munh pher lo hamse lakh magar,
Badalenge na hum tum kya jano
Hum pyar tumhi se karte hai

Hum pyar tumhi se karte hai,
Nadan balam tum kya jano
Tum ruth gaye dil tut gaya,
Paaya hai jo gham tum kya jano
Hum pyar tumhi se karte hai.

Hum Pyar Tumhi Se Karte Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.