Hum Jaise Tanha Logon Ka Lyrics – Pankaj Udhas
Jo puchhata hai koi surkh
Kyon hai aaj aankhen
To aankh malke main
Kehta hoon raat so na saka
Hazaar chaahu magar yeh
Na keh sakunga kabhi
Ke raat rone ki khwahish thi
Magar ro na saka
Ab rona kya muskaana kya
Hum jaise tanha logon ka
Ab rona kya muskaana kya
Jab chahanewala koi nahin
Jab chahanewala koi nahin
Phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka
Ab rona kya muskaana kya
Sau rang mein jisko socha tha
Sau roop mein jisko chaaha tha
Sau roop mein jisko chaaha tha
Sau roop mein jisko chaaha tha
Woh jaane ghazal to rooth gayi
Ab uska haal sunaana kya
Woh jaane ghazal to rooth gayi
Ab uska haal sunaana kya
Jab chahanewala koi nahin
Jab chahanewala koi nahin
Phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka
Ab rona kya muskaana kya
Aawaaz kisiko de lekin
Ek naam tumhara honton par
Aawaaz kisiko de lekin
Ek naam tumhara honton par
Ek naam tumhara honton par
Har shakal se ubharo tum hi tum
Yunh khud ko magar behalaana kya
Har shakal se ubharo tum hi tum
Yunh khud ko magar behalaana kya
Jab chahanewala koi nahin
Jab chahanewala koi nahin
Phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka
Ab rona kya muskaana kya
Raaaton ka safar hai din ke liye
Aur dil mein tamanna raaton ki
Raaaton ka safar hai din ke liye
Aur dil mein tamanna raaton ki
Aur dil mein tamanna raaton ki
Jab paon mein raaste kho jaaye
Phir rukna kya ghar jaana kya
Jab paon mein raaste kho jaaye
Phir rukna kya ghar jaana kya
Jab chahanewala koi nahin
Jab chahanewala koi nahin
Phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka
Ab rona kya muskaana kya
Jab chahanewala koi nahin
Jab chahanewala koi nahin
Phir jeena kya mar jaana kya
Hum jaise tanha logon ka
Ab rona kya muskaana kya.