Hum Hain Na Lyrics – Akasa Singh, Gajendra Verma, Prakriti Kakkar, Sukriti Kakar
Dekho, ye bhi hai, kudrat ka ek hissa
Jiski kisi panne ke kone ka hai ye kissa
Na hai ispe qaabu koi,
Na hi apne haathon mein ilaaj iska
Par qudrat ki iss harqat pe,
Pehle sochunga, maanu ya na maanu
Mann hi mann mein thoda kosoonga
Ye kyon kya kaise huya,
Ye jo mann mein sawaal aaye,
Unhe main zaroor poochunga
Bhookhi dharti ko kisan aur har insaan ne kosa
Kai ne chilla chilla ke apna gala faada
Kai ne rassi ke fande ko apnaaya
Par hamare gusse aur dard ka ye hai nateeja
Do shabd, dharti, maa
Yahi hum sab tumhe kehte hai na
Maana hum se huyi bahut galtiyaan
Maafi chaahte hai, hum se huyi ye gustaakhiyaan
Hum bachche hai, gustaakhiyaan toh hongi naa
Bachche hai tumhare hi maa
Phir bhi maa tumne bin daante hi,
Seedha haath uthaaya
Par maa ho tum hamari, karti ho pyaar sab se zyada
Kuch soch ke kiya hoga, tumne ye iraada
Ya shayad dekha hoga tumne koi sapna bura
Ki apne bachcho ko seene se laga liya
Khair, ab ye sirf unke liye
Jo hamare saath nahi, tumhari qami mehsoos hogi
Aur ek din phir mulaqat hogi
Tum jahan bhi ho, zara suno
Waada tumse ye kare
Hum hain na, unko gale se lagane ko
Hum hain na, zakhm pe marham lagane ko
Hum hain na, unko phir se hasane ko
Hum hain na, aa..
Jab kabhi bhi, agar kahin bhi gir jaao
Ya kabhi bhi, phir kahin bhi dar jaao
Bas awaaz do, bas awaaz do
Hum hain na, hum hain na
Hum hain na, unko gale se lagane ko
Hum hain na, zakhm pe marham lagane ko
Hum hain na, unko phir se hasane ko
Hum hain na, aa..