Hum Hain Insaaf Lyrics – Babu Haabi, Naezy
Hum hain insaaf
Hum hain insaaf hum se
Badlega ye zamana
Shareefon ka dost
Haramiyon ka patta saaf
Patta saaf, patta saaf
Patta saaf, patta saaf…
Apun ka kaam apun ka naam
Dono is insaaf
Dono is insaaf
Jab jab dharti pe kahin paap hoga
Paapi ka papad banane uska baap hoga
Nevla koodega ab jaisa bhi saanp hoga
Ik ik gali mein ab apna jaap hoga
Ha ha ha
Apun ka kaam apun ka naam
Dono is insaaf!
Hum hain insaaf, hum hain
Hum hain insaaf
Hum hain insaaf hum se
Badlega ye zamana
Isiliye rehna ab insaaf se darr ke
Kaam ke baad sharafat se rehna ghar pe
Kyunki bahar hum hain
Chaaron taraf hum hain
Matlab ki… bhrashtachar ka gala katega
Ab toh hoga kamaal
Dhokebaazi ka bhaanda phootega
Ab hoga dhamaal
Styagrah ka danda padega
Inki karega inki laal
Saare deshdrohi pitenge dekho aaya bawaal
Saare deshdrohi pitenge dekho aaya bawaal
Dekho aaya bawaal…
Apun ka kaam apun ka naam
Dono is insaaf!
Hum hain insaaf, hum hain
Hum hain insaaf
Hum hain insaaf hum se
Badlega ye zamana
Hum hain insaaf, hum hain
Hum hain insaaf
Hum hain insaaf hum se
Badlega ye zamana
Shareefon ka jeena mushkil
Aazadi mein ghoom rahe kameene bindass
Saale kar rahe hain kaand roz
Har taraf hai bhrashtrachar
Maslon ko suljhaane waale pe hi atyachar hai
Ab bhott seh liye atyachar
Paap karne waalon ko saaf karna padega
Samaapt karna zaroori hai
Haq ki ladaai
Jurm ho jahaan bhi
Hogi uski pitaai
Dhokebaazon ko daboche
Kar na paaye kuch bhi
Khisyani billi khamba noche
Humse bachna mushkil
Desh ki awaam thoda soche
Deshdrohiyon ki haar hogi
Jeet insaaf ki
Gandi hawa hogi par
Chalegi hawa saaf si
Hum hain insaaf, hum hain
Hum hain insaaf
Hum hain insaaf hum se
Badlega ye zamana
Hum hain insaaf, hum hain
Hum hain insaaf
Hum hain insaaf hum se
Badlega ye zamana.