Hum Dil Ka Kanwal Lyrics – Lata Mangeshkar
Ham dil ka kanval denge jisko
Hoga koi ek hazaaron mein
Saagar mein kahi jyon ek moti
Jaise chanda ek sitaaron mein
Ye roop rang ki phulvaari
Uske hi liye ye phool khile
Ye roop rang ki phulvaari
Uske hi liye ye phool khile
Sab kuch dena hai saunp
Use jis din jis pal wo aan mile
Baagon mein usi ke charche hain
Hai uski baat bahaaron mein
Mithi si kasak dil me lekar
Thandi si jalan man ke andar
Mithi si kasak dil me lekar
Ham khoj me usaki nekale
Hai in raho aur doraho par
Saayad wo aaj hi miljaaye
Hai pyaar ka rang najaro me
Saayad wo aaj hi miljaaye
Hai pyaar ka rang najaro me
Kisne dil jeeta taakat se
Chaahat kab aag se darti hain
Naadaan shekaari kya jaane
Hirani kis raag pe marti hain
Talvaar ka zor nahi chalta ho
Jaati hain baat ishaaron mein
Ham dil ka kanval denge jisko
Hoga koi ek hazaaron mein
Saagar mein kahi jyon ek moti
Jaise chanda ek sitaaron mein.