Hum Chahe Na Chahe Lyrics – Suman Kalyanpur
Hum chahe na chahe phir bhi kabhi
Wo samne jab aa jate hai
Har bar najar jhuk jati hai
Har bar kadam ruk jate hai
Har bar kadam ruk jate hai
Hum chahe na chahe phir bhi kabhi
Baho mein chale aaye hai
Hum bhul se shayad ulfat ki
Baho mein chale aaye hai
Anjan safar ki anjani
Raho mein chale aaye hai
Ab kya hoga
Ye soch ke ghabra jate hai
Ye soch ke ghabra jate hai
Hum chahe na chahe phir bhi kabhi
Kya bat hai kyu mere dil ki
Jajbat bikhar jate hai
Kya bat hai kyu mere dil ki
Jajbat bikhar jate hai
Badle badle se kyu apne
Andaz najar aate hai
Har aahat par apne dil ki
Khud choke bal kha jate hai
Khud choke bal kha jate hai
Hum chahe na chahe phir bhi kabhi
Ye kaisi anokhi bat hui
Uljhan mein ulajh jate hai
Ye kaisi anokhi bat hui
Uljhan mein ulajh jate hai
Ye uljhan aur ulajhti hai
Jitna isko suljhate hai
Begane hai wo lekin ab to
Hum khud se bhi sharma jate hai
Hum khud se bhi sharma jate hai
Hum chahe na chahe phir bhi kabhi
Wo samne jab aa jate hai
Har bar kadam ruk jate hai.