Hindustan Hindustan Lyrics – Shankar Mahadevan, Sunali Rathod
Sarve bhavantu sukhina
Sarve santu niramaya
Sarve bhadrani pashhaantu
Maakaschit dukh bhaa bhavet
Hindustan hindustan
Hindustan hindustan
Meri aan meri shaan
Meri jaan hindustan
Hindustan hindustan
Hindustan hindustan
Meri aan meri shaan
Meri jaan hindustan
Paanch hazar warsha pehle isi
Ved mantra ka uchhar karke
Param peeta parmatma ki
Yaachana karte sabka
Bhala karo bhagwan
Sabko sukh aur shanti do aur
Paanchso warsha pehle
Isi paath ko saral
Bhasha mein dohraya
Nanak naam jalti kala
Tere paani sarvata bhala
Hindustan hindustan
Hindustan hindustan
Meri aan meri shaan
Meri jaan hindustan
Maannewale hindustani
Kya khud shanti se sakte,
Rehte bhi toh kaise rehte
Unki dharti ka dusra naam
Sone ki chidiya hai
Jiski mitti mein sona au
jungalo mein chandan hai
Shayad isiliye prakriti ne
Iski suraksha ke liye
Uttar mein himalaya
Dakshin mein hind mahasagar
Purab mein bangal ki khadi aur
Paschim mein thar ka
Registan bana diya tha
Hindustan hindustan
Hindustan hindustan
Meri aan meri shaan
Meri jaan hindustan
Phir bhi sone ki
Chamak aur chandan ki
Khushbu bahar ke
Hamlaawaro ko lubhati rahi
Sikandar ke ghodo ki taapo ne
Hamare dharti ke
Seene ki dhadkan tez kar di
Tohun, mangol, arab, purtagali,
Francisi aur angrej koi pichhe na raha
Sab aaye aur aate hi rahe,
Shayad nahi jaante the ke jahaan
Sab duniyawale apni
Apni matroobhoomi se pyar karte hain
Waha hindustani apni
Matroobhoomi ki pooja karte hain
Jee haa pooja
Hindustan hindustan
Hindustan hindustan
Meri aan meri shaan
Meri jaan hindustan
Karodon hindustaniyon ki
Bhaavna ko shabdo mein
Dhaalte hue hi toh bankim
Babu ne kaha tha
Sujalam sufalam malayaj
Shitalam shashya shamlam
Mataram vande vande mataram
Hamlaawaro ko haar
Maankar wapas jaana pada
Par kutch log yahi reh gaye
Unhe hamari dharti maa ne god le liye
Aur itihaas sakhsi hai maa ne
Apni god se janme aur god liye
Bachho mein kabhi antar nahi kiya
Shayad isiliye jab jab kisi hamlawar ne
Hamari dharti ke seene
Par paanv rakhna chaha
Sab bachhe seena
Taankar saamne khade
Ho gaye aur seema suraksha ki
Deewar khadi ho gayi
Hindustan hindustan
Hindustan hindustan
Meri aan meri shaan
Meri jaan hindustan
Hamlwar iss deewar se
Takrakar wapas jaate rahe
Jo unniso basat mein hua wahi
San paisat aur wahi ikahattar mein
Har baar hindustaniyon ne wapas
Jaate dushman ki or
Dosti ka haath badhaya
Kyunki hamari mitti ne
Hamein sikhaya hain
Yadi nafarat karne wale
Nafarat ka daaman nahi chhodte
Toh mohabbat karne wale
Mohabbat ka daaman kyun chhode
Hindustan hindustan
Hindustan hindustan
Meri aan meri shaan
Meri jaan hindustan.