Haraam (Title) Lyrics – Maya
Thode achhe kaam mein
Maza jeene ka aata hai
Mere sheher ki shaam mein
Salaam de achhi soch ko
Jo badnaam hai viraam hai
Mujhe mila ye inaam hai
Gumnaam hai
Likha jo bhi sacha ye paigaam hai
Tera kaam ab neelaam hai
Macha dil me kohraam hai
Jhootha tera makaam hai
Tabhi to tu nakaam hai
Iss khel ka kadwa jaam hai
Hona jo katle-aam hai
Haraam hai
Wo soch sare aam
Mera kaam mera naam
Ye awaam chakka jaam
Dil ko thaam dele dhyan
Tu insaan na bhagwan na shaitan
Hai kisaan jo mahaan hai aasaan
Lele gyan meri maan
Sab samaan le chalaan kar bhugtaan
Jhoothi shaan ki thakaan
Savdhan hindustan!
Umeed roshandan sabka ek he anjaam
Hona hai ram naam
To hona kyun pareshan hai bekar mein
Dilon k bazaar mein
Zindagi rukegi na chadhaav mein
Utaar mein kataar mein
Katora leke khade intezaar mein
Afsos kis baat ka
Murdon ke shikaar mein
Akhbaar mein
Subha subha machi khalbali
Ab baat meri chali
Meri baat hai nirali
Har raat hai diwali
Abhi kahan beta teri bala tali
Hip-hop ki hawa thi ab
Tofaan ayega
Har gali
Tofaan ayega
Dil mera aflaatoon kadwa zubaan ka
Aankhon par sil gaye parde jo
Utaarna mai janta
Na maanta riwaazon me mai mahaanta
Kaaton ki raahon par kya daudna aasaan tha
Ek time tha jab desh ke jawano me naam tha
Koi bhagat, koi aazaad
Koi ashfaaq ullah khan tha
Na hindu musalmaan tha
Mazhab nahi makaam tha
Kya achha samay wahi tha
Jab desh ye gulaam tha
Savdhan hindustan!.