Hamara Bharat Hamari Janani Lyrics – Mohammed Rafi
Hamari dharti hamara desh
Kaise ho maa tere sukhe nayan
Kaise ho maa tere rukhe kesh
Kaise ho maa tera dhul ka aasan
Kaise ho maa tera malin vesh
Tees koti santan jiski
Milke pukare hamara desh
Kaisa hai dukh kaisi hai chinta
Kaisi hai lajja hai kaisa hai klesh
Tees koti ek swar me
Milke pukare hamara desh
Hamara desh hamara desh
Hamara desh hamara desh
Hamara desh
Jaagi yahi thi budh ki aatma
Kholne ko mukti dwaar
Chhaya hua hai aadhe jagat par
Aaj bhi unki bhakti ka saaz
Tere ashok ne shok mitaya
Yash failaya desh videsh
Uski nahi thi mata tu janani
Uska nahi tha maa ye desh
Kaisa hai dukh kaisi hai chinta
Kaisi hai lajja hai kaisa hai klesh
Tees koti ek swar me
Milke pukare hamara desh
Hamara desh hamara desh
Hamara desh
Gunji yahi thi mandiro me
Tere nimay ki manjul tan
Nyay vidhan diya raghuwar ne
Gaye the chandi das ne gan
Tere partap ne shish nahi jhukaya
Kya hai nahi uska dhanya desh
Dhanya hai mata apni nasho me
Agar hai unka rakt shesh
Kaisa hai dukh kaisi hai chinta
Kaisi hai lajja hai kaisa hai klesh
Tees koti ek swar me
Milke pukare hamara desh
Hamara desh hamara desh
Hamara desh
Jo kahi maa tere sundar mukh par
Chhayega dukh ka andhera ghor
Hat jayenge kale badal
Jag uthegi aasha ki bhor
Hamko mitani maa teri kalikh
Prano se pyara hamko swdesh
Devi se pawan pooja se nirmal
Swarg se sundar hamara desh
Kaisa hai dukh kaisi hai chinta
Kaisi hai lajja hai kaisa hai klesh
Tees koti ek swar me
Milke pukare hamara desh
Hamara desh hamara desh
Hamara desh hamara desh.