Gurus Of Peace Lyrics – A.R. Rahman, Nusrat Fateh Ali Khan
Chanda suraj laakhon
Taare hain jab tere hi yeh saare
Kis baat par hoti hai phir takraarein
Kheenchi hai lakire is
Jameen pe par na khencho dekho
Beech mein do dilon ke
Yeh deewaarein
Duniya mein kahin bhi, dard se koi bhi
Duniya mein kahin bhi, dard se koi bhi
Tadpe to humko yahan pe
Ehsaas uske zakhmon ka hoke
Apna bhi dil bhar bhar
Aaye roye aankhein
Another day another talk,
Somewhere we have to
Find a new way to peace
What are you waiting for
Another sign another call,
Somewhere we have to
Find a new way to peace
Doori kyon dilon mein rahe
Faasle kyon badhte rahe
Pyaari hai zindagi hai pyaara jahaan
Rishte badi mushkilon se
Bante hai yahaan pe lekin
Tootne ke liye bas ekhi lamha
Ishq dava hai har ek dard ki
Zanjeer ishq hai har ek rishte ki
Ishq saari hadon ko tod daale
Ishq to duniya ko pal mein mita bhi de
Ishq hai jo saare jahaan ko aman bhi de
Ronak ishq se hai saare aalam ki
Chanda suraj laakhon
Taare hain jab tere hi yeh saare
Kis baat par hoti hai phir takraarein
Kheenchi hai lakire is
Jameen pe par na khencho dekho
Beech mein do dilon ke yeh deewaarein
Duniya mein kahin bhi, dard se koi bhi
Duniya mein kahin bhi, dard se koi bhi
Tadpe to humko yahan pe
Ehsaas uske zakhmon ka hoke
Apna bhi dil bhar bhar aaye roye aankhein
What are u waiting for..
What are u waiting for..
What are u waiting for..