Ghat Ghat Ka Pani Lyrics – Usha Mangeshkar
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya
Ghat ghat ka pani pee kar
Pyase hai deewane
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya
Pee pee ke girte sambhalte hai yeh
Rangin raaho pe chalte hai yeh
Pee pee ke girte sambhalte hai yeh
Gore badan pe fisalte hai yeh
Har raat dilbar badalte hai yeh
Yaha waha idhar udhar
Yaha waha idhar udhar
Shyam sahar baat paher
Sholo mein jalte hai yeh
Jal jal bujh gayi sama hazaaro
Jale na yeh parwane
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya
Daste hai zulfon ke saaye inhe
Hotho ki lali jalaye inhe
Daste hai zulfon ke saaye inhe
Hotho ki lali jalaye inhe
Aankhon ki masti sunaye inhe
Baaho ki garmi jagaye inhe
Raat gayi baat gayi
Raat gayi baat gayi
Kar ke nayi ghat gayi
Tab chain aaye inhe
Inki pyas bujhegi kaise
Yeh to ram hi jaane
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya
Ghat ghat ka pani pee kar
Pyase hai deewane
Kahi ghato ka paani piya
Raha phir bhi to pyasa jiya.