Gayi Kaam Se Gayi Yeh Ladaki Lyrics – Kishore Kumar
Dekh banno koyi jaata hai
Naam se koi jaata hai daam se
Koi jaata hai jaan se magar
Yeh ladaki gayi kaam se
Gayi kaam se gayi yeh ladaki
Gayi kaam se gayi yeh ladaki
Ho gayi hai deewaani
Chhoti umar mein
Are baali umar mein
Pyaar ki baate
Karti hai manmaani
Kaun ise samjhaaye
Kaun ise samjhaaye abb
Yeh thik nahi naadaani
Ey ey ey gayi kaam se
Gayi kaam se gayi yeh ladaki
Ho gayi hai deewaani
Shaadi ka karo iraada
Umar athaara ki ho phir
Shaadi ka karo iraada
Isase pehale kabhi kisi se
Karo na pyaar ka waada
Waada kabhi na karana
Khoj le madam varana
Pyaar ka yeh jurmaana
Padega tujhako bharana
Are dhar legi sarkaar
Dhar legi sarkaar
Agar yeh baat na tune maani
Are are are ai gayi kaam se
Gayi kaam se gayi yeh
Ladaki ho gayi hai deewaani
Chhoti umar mein pyaar
Ki baate karti hai manmaani
Juldi karegi shaadi toh
Phir juldi honge bachche
Juldi karegi shaadi toh
Phir juldi honge bachche
Aaj ki duniya mein toh
Do bachche hai bas achchhe
Buri hai juldi shaadi
Rok badhati aabaadi
Tees hoke warana tu
Ban jaayegi daadi
Are beta banno juldi
Juldi shaadi mat karana
Sabar se le tu kaam
Sabar se le tu kaam
Abhi toh nikhari nahi jawaani
Are are are are gayi kaam se
Gayi kaam se gayi yeh
Ladaki ho gayi hai deewaani
Chhoti umar mein pyaar
Ki baate karti hai manmaani.