Garibi Middle Class Me Lyrics – Elwin Dadmal
Nikla tha ghar se dur kuch paane ki firat me
Kame bhi meri na kayi likhi thi keetab me
Mehnat ke chalte maine dhundha khudko ajj me
Jitne ki aas me majboori thi agash me
Bechani meri jhuke aandhi aur tufan me
Bekhabar raasto pe baitha tha neraash may
Kho chuka tha may sab kuch manjil ki talash me
Manjil ki talash me manjil ki talash me
Faaslo par kishmat padte hausle anjaan
Kyoki kaam ke badle nikle apne hi baimaan
Kaise dhundho mat teraki taaki zindagi asaan
Kyu na bheed me banegi aakhir meri pehchaan
Ek pehchaan ke liye khudko hi dau pe lgaya
Aur baap ki kamayi apni mehnat me bahaya
Meri har ek galti pe maine khudko hi samjhaya
Aur dikhaya ane aapko asal me khudko hi paaya
Laaya aesa ek din jisme kiskhmat ko ajmaya
Par kishmat ke khulte hi naseeb ko gawaya
Phir umeed ke sahare maine sapno ko sajaya
Chahe jhootha kyu na ho sabko sach hi btaya
Akhir kab tak chalta raho jhoota bankar kab tak
Zindagi me aesa kuch paa na lo tab tak
Paakar bhi mila kya mujhko phir ab tak
Geerta raho sehta raho aakhir kis had tak
Aakhir kis had tak aakhir kis had tak aakhir kis had tak
Mehnat bekar kishmat bhi footi
Dosti yaari meri sab nikle jhooti
Milna mushkil tha ek waqt ki rooti
Mujhko ab lag rhi thi ye duniya chhoti
Kabhi gam ke saaye me maine kaate din raat
Jawab dene lage mujhe waqt ke halaat
Na ban gayi baat na kisika sir pe hath
Takleef me na kisi ne bhi diya sath
May bhatkta raha jaise bankar jinda lassh
Mere asqo me mit chuke the gehre mehre raj.