Gale Lipte Hain Woh Bijli Ke Dar Se Lyrics – Nusrat Fateh Ali Khan
Gale lipte hain woh bijli ke dar se
Illahee yeh ghata do din to barse
Gale lipte hain woh bijli ke dar se
Illahee yeh ghata do din to barse
Faraib-e-aarzoo mein aa na jaaon
Faraib-e-aarzoo mein aa na jaaon
Na daikho tum mohabbat ki nazar se
Illahee yeh ghata do din to barse
Gale lipte hain woh bijli ke dar se
Na chaire humnashi rudaad-e-maazi
Na chaire humnashi rudaad-e-maazi
Baras jain gay toofan chashm-e-tar se
Illahee yeh ghata do din to barse
Gale lipte hain woh bijli ke dar se
Mere ghar aaj koi aa raha hai
Mere ghar aaj koi aa raha hai
Ilaahee aasmaan say noor barse
Illahee yeh ghata do din to barse
Gale lipte hain woh bijli ke dar se
Sarapa sher-o-naghma mah-o-bul ho
Sarapa sher-o-naghma mah-o-bul ho
Tumhein daikhe koi meri nazar se
Illahee yeh ghata do din to barse
Gale lipte hain woh bijli ke dar se
Qamar tum ko hum hee kuch jante hain
Qamar tum ko hum hee kuch jante hain
Nazar aate ho kaise motabar se
Illahee yeh ghata do din to barse
Gale lipte hain woh bijli ke dar se.