Gaaye Jaa (Male) Lyrics – Mohammed Irfan
Dhalte huye keh gaya
Phir laut ke, aaunga main
Nazdeek hi hai subah
Gaaye ja, gaaye ja
Ghum mein hai sargam
Gun-guna ye dhun, gaaye ja
Gaaye ja, gaaye ja
Raat ke dhaago se savera bun, gaaye ja
Gaaye ja, gaaye ja
Ghum mein hai sargam
Gun-guna ye dhun, gaaye ja
Apna hi apna, kyun kehlaaya hai
Kaise koi, tai karta hai
Kaun paraaya hai
Ek wahi rishta, teri kamaai hai
Dard ke pal mein, jisne tera
Saath nibhaaya hai
Toota huya, toh kya, sitaara tu
Kisi ka ban, sahara tu
Gaaye ja, gaaye ja
Raat ke dhaago se savera bun, gaaye ja
Gaaye ja, gaaye ja
Ghum mein hai sargam
Gun-guna ye dhun, gaaye ja
Ho..
Aankhon mein rakhna, sapne tu kal ke
Tujhko lekin, unn tak jaana hoga
Khud chal ke
Maj-dhaaro se tu, haar nahi jaana
Saahil tujhko, paana hoga
Lehron mein dhal ke
Hai zindagi wahi, jo chalti hai
Ye gir ke hi, sambhalti hai
Aa..aa..