Ek Tara Bole Lyrics

in

"Ek Tara Bole" Song Details:

Movie: Yaadgaar (1970)
Singer(s):Mahendra Kapoor
Lyricist(s):Verma Malik
Composer(s):Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Director(s):Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Genre(s):Philosophical
Director(s):S. Ram Sharma
Music Label:© Saregama
Starring:Manoj Kumar, Nutan, Pran, Prem Chopra, Asit Sen

Ek Tara Bole Lyrics – Mahendra Kapoor

Ek tara bole tun tun
Kya kahe ye tumse sun sun
Ek tara bole tun tun
Kya kahe ye tumse sun sun
Baat hai lambi matlab gol
Khol na de ye sabke pol
To phir uske baad
Ek tara bole
Tun tun sun sun sun
Ek tara bole tun tun
Kya kahe ye tumse sun sun
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun

lyricsbogie.com
Kuchh aise log bhi hote hain
Kuchh aise log bhi hote hain
Apni galti pe rote hain
Apna to pet nahin bharta
Par das das bachhe hote hain
Par das das bachhe hote hain
Har saal calender chaap diya
Pariwaar niyojan saaf kiya
To phir uske baad
Ek tara bole
Tun tun sun sun sun
Ek tara bole tun tun
Kya kahe ye tumse sun sun
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun

Pahle to thaa chola burqa
Pahle to thaa chola burqa
Phir kat kat ke wo hua kurta
Chole ki ab choli hai bani
Choli se aage kyaa hoga
Choli se aage kyaa hoga
Ye fashion badhta badhta gaya
Aur kapda tan se ghatta gaya
To phir uske baad
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun
Ek tara bole tun tun
Kahe ye tumse sun sun
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun

Are hex teri aisi taisi
Are hex teri aisi taisi
Soorat hai ladki jaisi
Tang pant patli taangen
Lagti hain cigarette jaisi
Lagti hain cigarette jaisi
Desh ka yahi jawaan hai to
Desh ki ye santaan hai to
To phir uske baad
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun
Ek tara bole tun tun
Kahe ye tumse sun sun
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun

Are rocket koi chaadhaata hai
Are rocket koi chaadhaata hai
Koi atom bomb banaata hai
Aman ke naam pe dekho wo
Duniya pe rob jamaata hai
Duniya pe rob jamaata hai
Baarood agar ye chal jaaye
Saari duniya jal jaaye
To phir uske baad
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun
Ek tara bole tun tun
Kahe ye tumse sun sun
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun

Mandir se log ghabraate hain
Mandir se log ghabraate hain
Aur roz club me jaate hain
Log bhakti bhajan sab bhool gaye
Aur filmi gaane gaate hain
Aur filmi gaane gaate hain
Jab dharm nahin aur sharm nahin
Koi bhi acchaa karm nahin
To phir uske baad
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun
Ek tara bole tun tun
Kahe ye tumse sun sun
Ek tara bole
Tun tun tun tun tun

Do kisam ke neta hote hain
Ik detaa hai ik paata hai
Ho ho ik desh ko loot ke khaata hai
Ik desh pe jaan lutaata hai
Ho ho ik zinda rah kar marta hai
Ik mar kar jeewan paata hai
Ik mara to namo nishaan hi nahin
Ik yaadgaar ban jaata hai
Ik yaadgaar ban jaata hai
Bhagwaan kare mere dash ke
Sab neta hi ban jaayen aise
Thode se laal bahadur hon
Thode se hon nehru jaise
Thode se hon nehru jaise

Raam na kare mere desh ko
Raam na kare mere desh ko
Kabhi bhi aisa neta mile
Jo aap bhi doobe desh bhi doobe
Janta ko bhi le doobe
Arre janta ko bhi le doobe
Vote liya aur khisak gaya
Jab kursi se chipak gaya
To phir uske baad uske baad
Ek tara bole tun tun tun tun
Kya kahe ye tumse sun sun
Ek tara bole tun tun tun tun
Tun tun tun tun tun
Tun tun tun tun tun
Tun tun tun tun tun
Tun tun tun tun tun.

Ek Tara Bole Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *