Ek Sher Tha Ek Sherni Lyrics – Shankar Mahadevan, Shweta Pandit
Ek samay ki baat suno
Ye baat hai badi puraani
Maine tumhaare raaju
Chaacha se suni thi ye kahaani
Unke the teen bachche
Tum jaise wo shaitaan the lekin
Lekin lekin kya paapa
Lagte the sabko achhe
Chhoti si ik gufa ke andar
Chhota sa ik ghar tha
Unke jeevan mein na
Koi dukh na koi dar tha
Maa ke laadle the wo
Baap ko jaan se bhi pyaare
Hanste gaate mauj udaate
Mil ke rahate the saare
La la la
Kya hua paapa bolo na
Honi ne jaal bichaaya
Waha ek shikaari aaya
Wo sherni saamne aai
Usne bandook chalayi
Wo sherni ghaayal ho
Gayi chillaai tadpi so gayi
Usne phir aankh na kholi
Seene mein lagi thi goli
Lekin wo marte marte ye
Kah gayi chalte chalte
Mere saathi mere
Sajna in bachhon
Ko pyaar se rakhna
Tum baap ho bhool na
Jaana maa ka bhi
Farz nibhaana
He baap bhala kya
Jaane maa kya hoti hai
Bachhon ke sang kaise
Hansati kaise roti hai
Usane bhi yuun hansana
Rona seekh liya
Bachchon ke sang
Jaagna sona seekh liya
Samay ruka phir dheere
Dheere chalne laga
Man ka ghaav dheere
Dheere bharne laga
Baap ki ungli thaam ke
Bachche chalne lage
Maan ke badle baap ki
God mein palne lage
Saal maheene mausam
Aane jaane lage
Sher ke bachche phir
Se hansne gaane lage
Baaki kahaani kal chalo
Bachhon abhi so jaao
Oh nahi paapa nahi
Paapa please
Abhi sunaao na paapa
Please abhi abhi
Achha baaba to suno
O raahul o rohit o raani
Suno aage ab ye kahaani
Pada unpe phir gam ka saaya
Waha ek babbar sher aaya
Wo gurraaya chinghaada aise
Ke kha jaayega sabko jaise
Wo bachhe to bas dar ke
Bhaage magar aa gaya baap aage
Shuru ho gaya ek dangal
Laga kaanpane saara jungle
Darakton pe ja baithe bandar
Chhupe saap bhi bil ke andar
Kaheen ud gaye sab kabootar
Chadhe bhaalu parabat ke upar
Lage bhaagne dar ke haathi
Na tha sher ka koi saathi
Hui khoob jam ke ladaai
Babbar ne bahut maar khaayi
To bachchon ne taali bajaai.