Ek Kahani Nanhe Munne Lyrics – Kunal Ganjawala, Subhash Pradhan
Ek kahani nanhe munne
Bacho tumhe sunani hain
Na isme mahlo ka raja
Na pariyo ki rani hain
Ek kahani nanhe munne
Bacho tumhe sunani hain
Na ismein mahlo ka raja
Na pariyo ki rani hain
Aur na ismein chand pe
Rahne wali budhiya nani hain
Bolo bacho kya tumne bhi
Aisi suni kahani hain
Aao tumhe suanye
Aisa hi ek kissa
Aao tumhe suanye
Kitna bal hain ekta
Mein tumhe bataye
Kitna bal hain ekta
Mein tumhe bataye
Kisi jungle mein rahta tha ek siyar
Saath mein tha chota sa uska parivar
Biwi bacho ke saath rukhi sukhi khakar
Kisi tarah se apna dil tha raha gujar
Kabhi kabhi to adhi roti bhi
Na wo log pate the
Aasu peekar bhukhe pyase
Bache yun so jate the
Bukh se bachne ka phir usne
Socha ek upay
Kisi aur jungle se lakar
Kyun na roti laye
Kyun na roti laye
Yah soch dusre jungle mein
Wo jaa pahucha
Ek bayanak sher
Jahan ka tha raja
Wo bada hi jalim tha
Sab usse darte the
Khud bukhe rah kar bhi
Jalim ka pet bharte the
Jurm ke badh jane se
Sab trahi trahi karne lage
Jalim ke hatho se jab
Bemaut bechare marne lage
Tab siyar ne sabko bulaya
Ek rashta unhe dikhaya
Ekta ka usne sabko
Aisa hi ek path padhaya
Uske bad kya hua
Phir sabne mil kar
Us jalim ko pal
Mein mar giraya
Pal mein mar giraya
Aur kaha
Usko na jinda chodenge
Hak jiska sabne mara hai
Har jor jurm ki takkar mein
Sangarsh hamara nara hain
Sangarsh hamara nara hain.