Ek Dhara Ke Jan Gan Lyrics – Atreyi Bhattacharya, Sadhana Sargam
Lamha lamha aankhon mein bahe
Chup rehke pal pal fisle
Haathon mein magar kuchh kehke
Yaadein chhalti sapna banke
Aur kshitiz tak door kinaare
Jaise taare choti jungnu jaise aasha
Ek dilaasa ek dilaasa
Chup rehke
Gumsum gumsum sehmi saansein
Chup reh ke pal pal fisle
Dil ki dhadkan kuchh kehke
Thagne aaye ghor andhera
Aur kashitiz tak door kinaare
Aur naa haar poorab nab mein
Ek sitaara jag ujiyaara jag ujiyaara
Faili door tak zameen aur ooncha aasmaan
Mil rahein yahin kyun na chhod chhad kar
Samay ko rok kar bas rahe yahin
Chhod ke dagar ghum hai disha jaise
Aur khonje ki bhi koi fikar nahin
Ek taar se baandh rahe mann ko
Aur bolne ki bhi ek wajah nahin
Chhalati agni purvar yeh dhara
Aur paani har pal karte
Praano mein sarjan milar hi
Kan kan judta banta jeevan
Aur hawaayein sab jag behti
Aazadi se ek dhara ke
Jan gan saare sab hi pyare
Sab hi pyaare
Aakaash bhedkar sapne sametkar
Huaa savera
Aakaash bhedkar sapne sametkar
Huaa savera
Aakaash bhedkar sapne sametkar
Huaa savera.