Dussehra (Title) Lyrics

in

"Dussehra (Title)" Song Details:

Album/Label: Dussehra (2020)
Singer(s):Muhfaad
Composer(s):Kartavya
Music Director(s):Kartavya
Genre(s):Hip Hop
Director(s):Audio Cabin
Music Label:© Be a Muhfaad!
Starring:Muhfaad
Release on:22nd February, 2020

Dussehra (Title) Lyrics – Muhfaad

Aur badtmizi bardaasht nahi karege hum

lyricsbogie.com
Abhi adhoori kahani ae
Sar se upar paani ae
Paara to chadhega
Sabko hi chadhi jawaani ae
Ab aana toh padega
Baatein duniya ko batani hain
Log hi bata denge
Phir ke kaun nakli prani ae

Jo bola maine phone pe
Main baato pe tikoonga
Zindagi bhar hogi typing
Par screenshot nahi lunga
Duniya ke aage baat hogi sareaam maat
Jeetunga shan se ya
Haar ke samman mein jhukunga

Kalamkaar wale weak ho rahe hai
Raftaar kr$na antique ho rahe hai
Pehle studio mein band the jo gaane independent
Ho gaye azad kuchh zyada hi ab leak ho rahe hai
Rap khel hi woh jismein sabko banna ek number
4 launde signed rahenge raftaar ke hi under
Duniya jeetna chahte par sach nahi batate
Pehle real to ban jao baad mein ban lena sikandar
(kahlon)

Kahan thi maryada jab baat ghar walon pe aayi
Kahan tha bhaichara jab bhadkaya harjai
Maryada ki woh baatein saari jhoothi thi
Kehne ko nahi dil se maana tha tumhein bada bhai
Dilin nair such a liar
Tabhi achcha lawyer par main pakka shayar
Chhod ke bhaage lanka kayar
Raftaar jitni bhi ho chakke jaam
Main ceat ka tyre
I was born fire tabhi open fire

Main irritating nahi hu
Tum mein sunn-ne ki shakti nai
Pyar mein jatane wali
Aadat mujhe jachti nahi
Sab mein hai bhagwan
Isiliye hoti mujhse bhakti nai
Meri kala mera taj
Mujhse tum bhi chheen sakte nai

Meri razaon ke aage tera khuda kya hai
Mujhse woh puchhta nahi hai teri raza kya hai
Mehnat mein to sirf zor lagta hai body ka
Dimaag se haraya inhe puchte ke wajah kya hai
Bewajah tum faltu mein ghuste ho sach hai bhai
Sabka sochne se better rap karo achcha bhai
Mauke bhi dilao sabko dhokhe bhi khao
Kyunki sabka bhai nahi hota
Kisi ek ka bhi sachha bhai

Zakhm tha gehra dil tha ye keh raha
Niklega diwala aaj manega dusehra
Zakhm tha gehra dil tha yeh keh raha
Niklega diwala aaj manega dussehra

Zakhm tha gehra dil tha ye keh raha
Niklega diwala aaj manega dussehra
Zakhm tha gehra dil tha ye keh raha
Niklega diwala aaj manega dusehra

“abe ankit mera dimag kha raha hai ki bc
Ek taraf ho ja ya muhfaad se mil le
Ya hamare sath reh le
Bc chutiyapanti
Phir beech mein keh raha ke agar tere ko aise hi
Tere ko bhi saanp bann-na hai to
Chal ja ek kaam kar aur if you
If you matlab leave us then
You’re dead bro tera career khatam hai
Haan chutiyapanti bc”

Zikra harjas ka kiya tha pehle verses mein
Peechhe reh gaye mote bhai dimaag ki
Tum warjish mein
Isi beat pe tu diss kar raha tha na kalamkaar ko
Aur ab fat bhi rahi hogi muhfaad tere verses mein
Gyan kam baaton yahan saare hain gayani
Tumne sun’ni nai kisi ki bas apni hi sunani
Nirasha hai ki badshah ki baat nahi samjhe
Banda banta tez par hai kudrat badi sayani

Hawabazi wali husky awaaz hai
Kuch munh mein liya ya gale pe ankit ka hath hai
Dhandhe wale zaada din dete nahi sath hain
Maa behan beech mein laa rahe hain
Jo kya saale anaath hai

Izzat maryada ki khidmat mein hath mat karo
Logon ko fuddu bana ke palta baat mat karo
Halka hath mat rakho sachchai mein hai taakat
Iss se behtar hai ki muhfaad ko yaad mat karo

Likhayi ki rahegi sada beef open
Khaali hai coffin let jao sleep talking
Duniya ki sunn sunn ke ho gaya main behra
Har beat lage heaven main lyrically beethoven

Gaane ban rahe ni par shyane saare ban rahe hai
Kalamkaar karma leke bhi yeh kaale kaam kar rahe hai
Izzat hai kamai bhai khauf to hai laazmi
Camera ke peechhe yeh khud saare kaam kar rahe hai
Gaano mein feminist yeh asliyat se door hai
Parivar to banaya par shikhaya nai usool hai
Gaali maa behno ko pade share karte ye zaroor hai
Yeh respect women bol ke shayad khud gaye bhool hai

Dnh matlab daaru and hash
Doosron ke dream aur hustle pe attack
Khud karein nashe yeh mana kare doosaron ko
Kahan se hain real yeh kahan gaye facts
Likh likh ke hai badli maine hathon ki lakeerein
Hak ki hai ladai ladni hoti hai sabhi ne
Ye karma hai jo pad gaya ulta inke seene
Meri maa ke aansu jhoothe hain toh
Sahi kiya honey ne

Zakhm tha gehra dil tha ye keh raha
Niklega diwala aaj manega dussehra
Zakhm tha gehra dil tha yeh keh raha
Niklega diwala aaj manega dussehra

Zakhm tha gehra dil tha ye keh raha
Niklega diwala aaj manega dussehra
Zakhm tha gehra dil tha ye keh raha
Niklega diwala aaj manega dussehra

Uthi chingari seene mein to aanch ban gaye
Mere hathyar yeh kalam aur saaz ban gaye
Janme to hum bhi aam insaan hi the
Insaniyat samajh li to maharaaj ban gaye.

Dussehra (Title) Lyrics PDF Download
Print PDF      PDF Download

never miss latest songs lyrics.

Sign up to receive an email whenever we post latest hindi song lyrics.

100% No Spamming.