Dupatte Kee Girah Me Lyrics – Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Dupate ki girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mera dil hai kabhi kam ayega
Dupate ki girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mera dil hai kabhi kam ayega
Ye mana tum hasin ho najami ho
Mere dil me tum hi pardanashi ho
Kaha le jaogi tum aisi surat
Kabhi to hogi sathi ki jarurat
Mera dil hai ise sathi bana lo
Ise apni nigah me chupa lo
Dupate ki girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mera dil hai kabhi kam ayega
Dupate ki girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mere dil se na ab daman bachao
Tumhe meri kasam hai tum pas aao
Mera dil pyar me duba huwa hai
Tumhari yad me khoya huwa hai
Mera dil aapse badhkar hasin hai
Hasino ki tarah katil nahi hai
Dupate ki girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mera dil hai kabhi kam ayega
Dupate ki girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mera dil hai kabhi kam ayega
Jawani tak hai ye sare jhamele
Na honge aashiki ke phir ye mele
Karegi ye umar jab bewafayi
Chura legi najar sari khudayi
Mera dil hi tumhe dega sahara
Banega tufan me kinara
Dupate ki girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mera dil hai kabhi kam ayega
Dupate ki girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhi kam ayega
Mera dil hai kabhi kam ayega.