Dukh Sukh Tha Ek Sabka Lyrics – Pankaj Udhas
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Dada hai aate the jab
Mitti ka ek ghar tha
Choron ka koi ghatka
Na dakuon ka dar tha
Khaate the rookhi sookhi
Sote the neend gehri
Shaamein bhari bhari thi
Aabaad thi dupehri
Santosh tha dilon ko
Maathe pe bal nahi tha
Dil mein kapat nahi tha
Aankhon mein chhal nahi tha
Hain log bhole bhale
Lekin the pyaar wale
Duniya se kitni jaldi
Sab ho gaye ravaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Taaleem ghar mein aayi
Abba ka waqt aaya
Taaleem ghar mein aayi
Taaleem saath apni
Taaza vichaar laayi
Aage rawayaton se
Badhne ka dhayaan aaya
Mitti ka ghar hata to
Pakka makaan aaya
Daftar ki naukri thi
Tangah ka sahara
Maalik pe tha bharosa
Ho jaata tha guzara
Paisa agar chekam tha
Phir bhi na koi gham tha
Kaisa bhara poora tha
Apna gareeb khana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Ab mera daur hai yeh
Koyi nahi kisi ka
Ab mera daur hai yeh
Koyi nahi kisi ka
Har aadmi akela
Har chehra ajnabee sa
Aansoon na muskuraahat
Jivan ka haal aisa
Apni khabar nahi hai
Maya ka jadoo aisa
Paisa hai martaba hai
Izzat wikar bhi hai
Naukar hain aur chaakar
Bangla hai car bhi hai
Zar paas hai zameen hai
Lekin sakoon nahi hai
Paane ke vaaste kuch
Kya kya pada gavaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana
Aye aane wali naslon
Aye aane wale logon
Bhoga hai humne jo kuch
Woh tum kabhi na bhogo
Jo dukh tha saath apne
Tumse kareeb na ho
Peeda jo humne jheli
Tumko naseeb na ho
Jis tarah bheed mein hum
Zinda rahe akele
Woh zindagi ki mehfil
Tumse na koyi le le
Tum jis taraf se guzro
Mela ho roshni ka
Raas aaye tumko mausam
Ekkiswi sadi ka
Hum to sakoon ko tarse
Tum par sakoon barse
Anand ho dilon mein
Jivan lage suhaana
Dukh sukh tha ek sabka
Apna ho ya begaana
Ek woh bhi tha zamaana
Ek yeh bhi hai zamaana.