Dukh Sukh Ki Lyrics – Chandrashekhar Gadgil
Dukh sukh ki har ek mala
Kudrat hi phiroti hai
Oo dukh sukh ki har ek mala
Kudrat hi phiroti hai
Hatho ki lakiro me
Ye jagti soti hai
Dukh sukh ki har ek mala
Kudrat hi phiroti hai
Yado ka safar ye kare
Gujari baharo me kabhi
Aane wale kal pe hanse
Udte nazaro me kabhi
Ek hath me andhiyara
Ek hath me jyoti hai
Dukh sukh ki har ek mala
Kudrat hi phiroti hai
Kisi me ye dam hai kaha
Iska khilona banke
Hum sab jite hai yaha
Jis rah se hum gujare
Ye samne hoti hai
Dukh sukh ki har ek mala
Kudrat hi phiroti hai
Aaho ke zanaze dil me
Aankho me chitaye gam ki
Ninde ban gayi tinka
Chali wo hwaye gam ki
Isan ke andar bhi
Aandhi koi hoti hai
Dukh sukh ki har ek mala
Kudrat hi phiroti hai
Khud ko chhupane walo ka
Pal pal pichha ye kare
Jaha bhi ho mitte nisha
Vahi jake pav ye dhare
Phir dil ka harek ghav
Ashqo se ye dhoti hai
Dukh sukh ki har ek mala
Kudrat hi phiroti hai
Hatho ki lakiro me
Ye jagti soti hai
Dukh sukh ki har ek mala
Kudrat hi phiroti hai.