Dosti Wala Gana Lyrics – Adnan Dhool (Soch Band), Rabi Ahmed (Soch Band)
Kitna jiye the hum,
Kitna hasey the hum chhote se pal mein,
Kitne hi kehke chupa rakhe hain,
Beete huye kal mein
Kitne pagal mast se the hum,
Apni duniya mein,
Har lamha kisi gasht mein the,
Hum apni duniya mein
Kya kya na socha thaa,
Sari duniya hi jitenge,
Kya kya na socha na tha,
Lamhe yoohn aise bitenge,
Kya-kya na waade the,
Hum yaar na bichhdenge,
Kya-kya na sapne the..
College ke raston ko dekhoon to,
Dil yeh tadapta hain,
Yaaron ko hasta dekhoon to,
Jeene ko mann karta hain
Kitaabon ke khaali se panno par,
Likhe naam ab bhi to baaki hai,
Puraani si yaaron ki tasveerein,
Yaadein bachi bas baaki hain,
Khaali se baste mein,
Yaaron ki yaari hain
Khareedi thi saste mein,
Jeene ke chaskon mein,
Waqton se haari hain
Kitna hai paaya aur kitna hai khoya,
Iss duniya daari mein,
Aisa na socha tha hum aise jitenge,
Aisa na socha tha
Lamhe yoohn aise bitenge,
Aise na waade the,
Ke yaar yoon bichhdenge,
Aise na sapne the,
Ooo..ooo..ooo..oo…!
Yaariyan ve, yaariyan ve, yaariyan.