Door Desh Ka Raja Lyrics – Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mohammed Rafi
Door desh ka raja ek din
Desh paraye aaya
Naino ki muskan mein apni
Prem sandesh laya
Ek kanchan rajkumari
Jaise chand poonam ka chamke
Waise sundar nari
Jab nain se nain mile
Jab nain se nain mile
Umange nach uthi man mein
Tarange jag uthi tan mein
Jab nain se nain mile
Jab nain se nain mile
Umange nach uthi man mein
Tarange jag uthi tan mein
Kaisi sundar sapne suhane
Nainan bich samaye
Kaisi sundar sapne suhane
Nainan bich samaye
Aasao ka laga hai mela
Aasao ka laga hai mela
Man ki murli gaye
Has has ke phool khile
Has has ke phool khile
Umange nach uthi man mein
Tarange jag uthi tan mein
Jab nain se nain mile
Jab nain se nain mile
Umange nach uthi man mein
Tarange jag uthi tan mein
Man mein aan basi wo hansini
Man ka kamal khilake
Man mein aan basi wo hansini
Man ka kamal khilake
Nas nas mein muskan basi ho
Nas nas mein muskan basi ho
Jeevan jyot jagake
Lahrati parwan chale
Lahrati parwan chale
Umange nach uthi man mein
Tarange jag uthi tan mein
Jab nain se nain mile
Jab nain se nain mile
Umange nach uthi man mein
Tarange jag uthi tan mein.