Do Ghoont Chai Pee Lyrics – Mohammed Rafi
Do ghoont chai pee
Aur sair duniya ki
Dekho main karke aa gaya
Aa gaya aa gayaa
Main sair karke aa gayaa
Do ghoont chai pee
Aur sair duniya ki
Dekho main karke aa gaya
Aa gaya aa gayaa
Main sair karke aa gayaa
Duniya hi jannat hai
Jannat me kya hoga
Dekhe yahan laakhon
Wahan to ek khuda hoga
Aadam hi aadam hai
Kis bat me kam hai
Isko banaaya kyun
Khuda ko bhi ye gham hai
Apne kiye par aap hi dekho
Khuda pachhtaa gaya
Pachhtaa gaya
Do ghoont chai pee
Aur sair duniya ki
Dekho main karke aa gaya
Aa gaya aa gayaa
Main sair karke aa gayaa
Phir bhi suhaani hai
Kitni haseen kitni jawaan
Maana ke phaani hai
Apni adaa se jee
Jab tak hai dam baaki
Tu aap hi paimana ban
Aur aap hi saaqi
Zinda wo duniya me raha
Duniya ko jo thukra gaya
Thukra gaya
Do ghoont chai pee
Aur sair duniya ki
Dekho main karke aa gaya
Aa gaya aa gayaa
Main sair karke aa gayaa
Yaaron idhar aao
Mujhse na ghabraao
Mujhko khilaa sakte nahin
To mujhse kuchh khaao
Khaane khialaane se
Kuchh kam nahin hota
Apne agar khaa jayen to
Kuchh gham nahin hota
Khaakar akele raat din
Mera to dil ghabra gaya
Ghabra gaya
Do ghoont chai pee
Aur sair duniya ki
Dekho main karke aa gaya
Aa gaya aa gayaa
Main sair karke aa gayaa.