Do Deewane Shahar Mein Lyrics – Bhupinder Singh, Runa Laila
Haaa, Deewaana
Ek deewaana shahar mein
Ek deewaana nahin, ek deewaani bhi
Hmm
Do deewaane shahar mein
Do deewaane shahar mein,
Raat mein ya dopahar mein
Aab o daanaa
Aab o daanaa dhoondhte hain
Ek aashiyaana dhoondhte hain
Aab o daanaa dhoondhte hain
Ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewaane shahar mein,
Raat mein ya dopahar mein
Aab o daanaa dhoondhte hain
Ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewaane
Apnaa bhi koyi ghar hoga
Ambar pe khulegi khidki ya,
Khidki pe khula ambar hoga
In bhoolbhulaiyya galiyon mein,
Apnaa bhi koyi ghar hoga
Ambar pe khulegi khidki ya,
Khidki pe khula ambar hoga
Asmani rang ki ankhon mein
Asamani yaa aasmani
Asmami rang ki aankhon mein
Basne ka bahaana dhoondhte hain,
Dhoondhte hain
Aab o daanaa dhoondhte hain
Ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewaane shahar mein,
Raat mein ya dopahar mein
Aab o daanaa dhoondhte hain
Ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewaane
Aaa ho
Jab taare zameen par
Taare, aur zameen par
Of course
Jab taare zameen par chalte hain
Hmm hmm
Aakaash zameen ho jaata hai
Aa aa aa
Us raat nahin phir ghar jaata,
Wo chaand yahin so jaata hai
Jab taare zameen par chalte hain
Aakaash zameen ho jaata hai
Us raat nahin phir ghar jaata,
Wo chaand yahin so jaata hai
Pal bhar ke liye, pal bhar ke liye
Pal bhar ke liye in aankhon mein ham
Ek zamaana dhoondhte hain,
Dhoondhte hain
Aab o daanaa dhoondhte hain
Ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewaane shahar mein,
Raat mein ya dopahar mein
Aab o daanaa dhoondhte hain
Ek aashiyaana dhoondhte hain
Do deewaane, do deewaane
Do deewaane, do deewaane
Do deewaane.