Dil Ki Fariyad Se Dar Lyrics – Asha Bhosle
Dil ki fariyaad se dar
Dard ke paighaam se dar
Subah ke baad bhi ik shaam hai
Us sham se dar
Ham to har haal me
Ye dard ye gham sah lenge
Zulm kar hampe
Magar zulm ke anjaam se dar
Ik aur thokar
Ke tootkar dil duaa karegaa
Ke tootkar dil duaa karegaa
Hamen kisi se gilaa nahin hai
Hamen kisi se gilaa nahin hai
Ke waqt khud faisla karegaa
Ke waqt khud faisla karegaa
Zindagi hamen raas aa na saki
Zindagi hamen raas aa na saki
Maut bhi taras hampe khaa na saki
Ab kya hai dam tod chhuke hain
Dil ke sab armaan
Koyi aarzoo rang laa na saki
Khoone dil pi chuke
Ham bahut ji chhuke
Arre sitamgar ek aur thokar
Arre sitamgar ek aur thokar
Ke tootkar dil duaa karegaa
Ke tootkar dil duaa karegaa
Aaa aaa
Har ghadi nayaa haadsaa ho to ho
Har ghadi nayaa haadsaa ho to ho
Tan re rooh bhi ab judaa ho to ho
Unki muhabbat unki tamanaa hai apna imaan
Chaahe ab khuda bhi khafa ho to ho
Mar bhi jaayen to bhi kyaa
Aayegi ye sadaa
Arre sitamgar ek aur thokar
Arre sitamgar ek aur thokar
Ke tootkar dil duaa karegaa
Ke tootkar dil duaa karegaa
Hamen kisi se gilaa nahin hain
Hamen kisi se gilaa nahin hain
Ke waqt khud faisla karegaa
Ke waqt khud faisla karegaa.