Dhaani (Title) Lyrics – Strings (Band)
Dhaani re dhaani
Chunariya dhaani
Dhaani re dhaani
Chunariya dhaani
Ude badal ke saaye
Main lehraye gi
Mujhe tarpaye gi chali jayegi
Jaise bijuriya mastani
Halke jhonke ki soorat
Main chhoo jayegi
Sharmaye gi aur itraye gi
Jaise nadiya deewani
Dhaani re dhaani
Chunariya dhaani
Barsoon ka jaga
Main so jaun
Uski sajti sawarti
Dhanak main
Main ghar banaun
Apnay ghar main kaye
Chand tare utaron sajaaon
Khusboon se bhare
Raaston main khojaun
Ude badal ke saaye
Main lehraye gi
Mujhe tarpaye gi chali jayegi
Jaise bijuriya
Dhaani re dhaani
Chunariya dhaani
Rung uskay baarish main
Dhulkay hain khiltay
Aur nikhartay roop
Uske zameeno ke chehron se
Milte aur sawarte
Uske andaz jaisay hain
Mausam aate jate
Uske sub rung hanste
Baste jagmagate
Ude badal ke saaye
Main lehraye gi
Mujhe tarpaye
Gi chali jayegi
Jaise bijuriya
Dhaani re dhaani
Chunariya dhaani
Dhaani re dhaani
Chunariya dhaani.