Dekh Chand Ki Aur Lyrics – Shailesh, Shamshad Begum
कहीं का दीपक कही की बाती
कहीं का दीपक कही की बाती
आज बने हैं जीवन साथी
देख हंसा है चाँद
मुसाफिर
देख चाँद की और
देख चाँद की और मुसाफिर
देख चाँद की और
देख चाँद की और
देख घटा घनघोर
देख घटा घनघोर
मुसाफिर
देख घटा घनघोर
चाँद के मुख
पर घूंघट डाले
खेल रही जो खेल
खेल रही जो खेल
छिपा लिया आँचल में
मुखड़ा
देख घटा का खेल
देख घटा का खेल
खेल खेल में देख मुसाफिर
बाँधी प्रीत की डोर
देख चाँद की और
मुसाफिर देख चाँद की और
देख लहर की और मुसाफिर
देख लहर की और
देख लहर की और
तड़प उठी जो देख चाँद को
छिपा न पायी प्रीत
छिपा न पायी प्रीत
मिलान हुआ चन्दा लहरों का
गूँज उठा संगीत
गूँज उठा संगीत
झूम उठे हैं देख मुसाफिर
चंदा और चकोर
देख चाँद की और
देख चाँद की और
मुसाफिर देख चाँद की और.
Kahin kaa deepak, kahin ki baati
Kahin kaa deepak, kahin ki baati
Aaj bane hain jeevan saathi
Dekh hansaa hai chaand,
Musaafir
Dekh chaand kii aur
Dekh chaand kii aur musaafir
Dekh chaand ki aur
Dekh chaand ki aur
Dekh ghataa ghanaghor
Dekh ghataa ghanaghor
Musaafir,
Dekh ghataa ghanaghor
Chaand ke mukh
Par ghoonghat daale,
Khel rahii jo khel
Khel rahii jo khel
Chhipaa liyaa aanchal mein
Mukhadaa,
Dekh ghataa kaa khel
Dekh ghataa kaa khel
Khel khel men dekh musaafir,
Bandhi preet ki dor
Dekh chaand ki aur
Dekh chaand ki aur
Musaafir, dekh chaand ki aur.
Dekh lahar ki aur musaafir
Dekh lahar ki aur
Dekh lahar ki aur
Tadap uthi jo dekh chaand ko,
Chhipaa na paayi preet
Chhipaa na paayi preet
Milan huaa chandaa laharon ka,
Goonj uthaa sangeet
Goonj uthaa sangeet
Jhoom uthe hain dekh musaafir,
Chandaa aur chakor
Dekh chaand ki aur
Dekh chaand ki aur
Musaafir dekh chaand ki aur.