Dayar-E-Dil Ki Raat Mein Lyrics – Asha Bhosle, Ustad Ghulam Ali
Dayaar-e-dil ki raat mein charaag saa jalaa gayaa

Milaa nahi to kyaa huaa wo shaql to dikhaa gayaa

Judaaiyo ke zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye

Tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gayaa
Tujhe bhi neend aa gai mujhe bhi sabr aa gayaa
Milaa nahi to kyaa huaa wo shaql to dikhaa gayaa
Dayaar-e-dil ki raat mein charaag saa jalaa gayaa
Ye subaho ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan
Ab aaine me dekhataa hun mai kahaan chalaa gayaa
Ab aaine me dekhataa hun mai kahaan chalaa gayaa
Milaa nahi to kyaa huaa wo shaql to dikhaa gayaa
Dayaar-e-dil ki raat mein charaag saa jalaa gayaa
Wo dosti to khair ab naseeb-e-dushmanaan hui

Wo chhoti chhoti rajisho kaa lutf bhi chalaa gayaa
Wo chhoti chhoti rajisho kaa lutf bhi chalaa gayaa
Milaa nahi to kyaa huaa wo shaql to dikhaa gayaa
Dayaar-e-dil ki raat mein charaag saa jalaa gayaa
Ye kis khushi ki ret par gamo ko neend aa gai

Wo lahar kis taraf gai ye mai kahaan chalaa gayaa
Wo lahar kis taraf gai ye mai kahaan chalaa gayaa
Milaa nahi to kyaa huaa wo shaql to dikhaa gayaa
Dayaar-e-dil ki raat mein charaag saa jalaa gayaa.