Darr Lyrics – Double-S (D18 Band), Raga (D18 Band)
Har din ki shuruwat hui darr ke saath
Ise rok na pata koi sachchi hai bat
Mera darr sath mere har pal….har pal har bar
Jeene ke liye zaruri hai ye darr ki saugat
Chehre kai hain iske par kam hai ek hi
Darna mana nhi darna hai majburi
Zindagi lge mushkil muje har din aur shaam
Kadwa hai sach main hu darr ka ghulam
Darr lagta hai muje..chalta hu darr-darr ke
Darr ke jeena hai yaha marna bi hai darke
Dil me banake mere baitha hai darr apna ghar
Is duniya me bi dikhta hai bs darr aur fikar
Kyu bhagu main…kyu main chup jau
Is darr ke age main apna sar kyu jhukau
Kuch na bolu main bs dekhta hi jau
Yuhi bato me main bhi darr ka shikar ban jau…
Duniya se nazre churake bhagu main fir ghabrake
Picha krti hmesha mera ye darr ki ankhe
Pakad lega yee sabko iski hzaro bahe
Ladna hai isse mushkil jeet ki kam hain rahe
Darr hai ye aisa khaufnaak iska ehsaas
Bhagu jitna main door ata utna ye paas
Din me dikhade ye ghanghor andheri raat
Darr se hi hai ant darr se hi shuruwat…
Kya darr hai zindagi zindagi hai ya maut
Darr mere sapno me
Darr meri saanso me
Darr meri rooh me..har lamha meri ankho me
Darr ki khamoshi me main jeeta hu har bar
Deta ye dukh hai jeena krde dushwaar
Mere darr se kru ab to main samna har bar
Yuhi bato hi bato me tadpata har bar
Kyu lgta hai darr muje har mod pe har rah pe
Kbhi nikal na paya main in nark ki deewaro se
Kaise bolu uperwale baat ye hai ajeeb
Lele darr ka saaya mujse bhle krde fakeer.