Chup Chup Apni Jaan Pe Lyrics – Mohammed Rafi
Chup chup apni jaan pe
Sah ja duniya ka anyay
Koi nahi is dharti par
Jo tera dard bataye
Sita ke liye likha hai yahi
Har yug me agni pariksha de
Sita ke liye likha hai yahi
Har yug me agni pariksha de
Dukh sah ke bhi mukh se kuch na kahe
Man ko dhiraj ki siksha de
Sita ke liye likha hai yahi
Apno ka atyachar sahe
Gairo ke kadwe bol sune
Apno ka atyachar sahe
Jis ram ke sang ban ban bhatke
Us ram ke bhi dutkar sune
Dharti me shamane se pahle
Dharti me shamane se pahle
Dharti ki tarah har bar sahe
Sita ke liye likha hai yahi
Purusho ki banai duniya me
Kya ik nari ka man na bache
Purusho ki banai duniya me
Kya ik nari ka man na bache
Jis jahar se ram ka man na bacha
Us jahar se kya insan bache
Jo reet yugo se jari hai
Jo reet yugo se jari hai
Us reet se kaise jaan bache
Sita ke liye likha hai yahi
Is andhi bahari nagri me
Jab jab sita ko aana hai
Is andhi bahari nagri me
Jab jab sita ko aana hai
Jite ji kasht uthana
Marne pe sati kahlana hai
Marne pe sati kahlana hai
Itihas ke panno ko sadiyo
Itihas ke panno ko sadiyo
Yuhi ye katha dohrana hai
Sita ke liye likha hai yahi
Har yug me agni pariksha de
Dukh sah ke bhi mukh se kuch na kahe
Man ko dhiraj ki siksha de
Sita ke liye likha hai yahi