Chuimui Si Zindagi Lyrics – Sunidhi Chauhan
Chuimui si zindagi simat
Ke khawab ban gayi
Tamam umar ki khushi
Yaha waha bikhar gayi
Aaj jo mile shamma
Bhi hai bahar bhi
Is khushi ka tha
Sabhi ko intzar bhi
Mai hu zameen pe aasma
Pe mera dil deewana
Aaha ye pyar aaha khumar
Aaha bahar aaha
Aaha ye pyar aaha
Hiwado bhigowe badli si barse
Aari ya chundar tara si badke
Payal ya chhanke chudi khanke
Shabnami hansi cheharo pe
Aaj khilkhilati har nazar me aaj
Shararat khul ke muskarati
Dil thamta hi nahi aisi ek bat huyi
Jaise bin badal ke kahi barsat huyi
Ab se kabhi bhi na koi
Yu nazar jhukayega
Ab se kabhi bhi na koi
Yu nazar jhukayega
Mil gaye hai ab na
Hume koi rok payega
Ab se kabhi bhi na koi
Yu nazar jhukayega
Rat hanseen sath hanseen
Ye khushi ki bat hanseen
Ye falsafa hai zindagi ka
Kya thikana ye pyar aaha
Mastani hu hey
Mastani hu masatni
Phulo se maheku mai
Panchhi si chahku mai
Barkha si barsu mai
Purwah si bahku mai
Nigahe chumti
Dilo me shor hai
Nashe me jhumta
Ye shama hi aur hai
Mujhe sambhalana na
Hosh kho du jane jana
Aaha ye pyar aaha khumar
Aaha bahar aaha
Aaha ye pyar aaha
Chuimui si zindagi simat
Ke khawab ban gayi
Tamam umar ki khushi
Yaha waha bikhar gayi
Aaj jo mile shama
Bhi hai bahar bhi
Is khushi ka tha
Sabhi ko intzar bhi
Mai hu zameen pe aasma
Pe mera dil deewana
Aaha ye pyar aaha
Khumar aaha bahar aaha
Aaha ye pyar aaha.