Choron Ka Maal Lyrics – Mukesh Chand Mathur (Mukesh), Suman Kalyanpur
Har sham teri meri hogi mulakat aaja
Tu mera din hai mai teri rat aaja
Har sham teri meri hogi mulakat aaja
Sagar mahal hai sagar kinare
Bijli bujhake karungi isare
Najare bachale upar bulaungi
Ayine me tumse ankhe milaungi
Usme nagine jaisa lagega sabab
Bas usi jagah bas usi jagah hogi mulakat
Chor koi dekh chor ghabra gaye
Aage age tum piche hum aa gaye
Jiski talas thi use paa gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye
Tu mera din hai mai teri rat aaja
Har sham teri meri hogi mulakat aaja
Parwat ki choti pe pathar ki kothi hai
Waha teri yaad me ek panah roti hai
Kahne ko ansu hai samjho to moti hai
Jab gharwalo ki aankh lagi hoti hai
Khidki se dekhti hu chad taro ki barat
Bas usi jagah bas usi jagah hogi mulakat
Acha hua hire moti bahar aa gaye
Kisme kamaya or kaun kha gaye
Dono ke nasib aaj takra gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye
Tu mera din hai mai teri rat aaja
Har sham teri meri hogi mulakat aaja
Karlo wada sath chaloge
Naye daur me sair karoge
Makhamal ke parde ke saye me chupke
Ayega maja tere pyar me lutke
Palko se pilaungi mai pyar ki sarab
Bas usi jagah bas usi jagah hogi mulakat
Dekha tera rup sab dokha kha gaye
Ankho ke isare hame samjha gaye
Nahle pe dahla banke hum aa gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye
Choron ka maal sab chor kha gaye.